ya ameer a momenin
ali safdar - 2013
ya ameer al momenin
ya imam al muttaqin phir zamaane ke yazeedon ne uthaaya apna sar ban gayi hai ye zameen zulm o sitam ka ek nagar har taraf insaaniyat hai be sahaara dar badar tang hoti jaa rahi hai har hussaini par zameen zulm o istebdaad ke har samt baadal chaa gaye kitne hi peer o jawaan jaame shahaadat paa gaye apne marne ki adaa se zulm ko dehlaa gaye ya ali wirde zabaan hai aafarin sad aafarin jurm hai sab se baraa sheh ki azaadaari yahaan maatame shabbir se ham log rukte hain kahaan ye duaaein de rahi hai haath uthaa kar koyi maan mein shifaa'at ki hun zaamin hashr me rakho yaqeen misame tammaar ka kirdaar hona chaahiye millatein khabida to bedaar hona chaahiye bacha bacha qaum ka tayaar hona chaahiye maut dulhan se bhi zyaada ho nigaahon me haseen dushmane deene khuda aamaadae paykaar hai parchame abbas ka saaya hame darkaar hai ya hussain o ya ali sab se baraa hathyaar hai keh uthe ehle falak haan hain yehi ansaare deen ay shahenshaahe najaf ay kul ke maula al madad aap ko allah ne waaris banaaya al madad aap se barh kar nahi koyi hamaara al madad aap ke dar par ghulaamon ne jhukaadi hai jabeen hasrate deedaare qaaem me jiye jaate hain ham jaame hujjat hazrate mehdi piye jaate hain ham ay zafar bas ye dua payham kiye jaate hain ham waarise haidar tera deedaar ho jaaye kaheen |
|