islyrics
  • home
  • index
    • all nawha
    • all manqabat
    • other
  • topic
    • allah hamd
    • karbala >
      • muslim bin aqeel
      • departure from madina
      • fatema sughra
      • as'haabe imam
      • aun o mohammad
      • qaasim
      • abalfazl abbas
      • ali akbar
      • ali asghar
      • imam hussain as
      • shaame ghariba
      • bibi sakina
      • syeda zainab sa
      • shaam - kufa
      • imam sajjad as
      • back to madina
    • azaadari hussainiyat
    • imam zamaan ajtf
    • du'a
    • wilaadat >
      • milaad un nabi
      • syeda fatema sa
      • 1 imam ali as
      • 2 imam hassan as
      • 3 imam hussain as
      • 4 imam sajjad as
      • 5 imam baqer as
      • 6 imam sadeq as
      • 7 imam kazem as
      • 8 imam raza as
      • 9 imam jawad as
      • 10 imam hadi as
      • 11 imam askari as
    • shahaadat >
      • hazrat mohammad sa
      • syeda fatema sa
      • 1 imam ali as
      • 2 imam hassan as
      • 3 imam hussain as
      • 4 imam sajjad as
      • 5 imam baqer as
      • 6 imam sadeq as
      • 7 imam kazem as
      • 8 imam raza as
      • 9 imam jawad as
      • 10 imam hadi as
      • 11 imam askari as
    • other
  • artist
    • nadeem sarwar
    • tejani brothers
    • shadman raza
    • farhan ali waris
    • other >
      • mesum abbas
      • irfan haidar
      • shahid baltistani
      • faraz hussain
      • hashim sisters
      • rizwan zaidi
      • hussain virji
      • ali safdar
      • fatemah ladak
      • mir hassan mir
      • fatima and batul dhamani
      • hasan sadiq
      • kazim rahemtullah
      • musayyab rizwi
      • master ghulam abbas
      • sajid jafri
      • zeeshan haidar
      • nasir zaidi
      • ali deep rizvi
      • ali charania
      • ayaz abbas
      • ali haidar
    • sami yusuf
    • ali haidar
    • farhan ali qadri
    • ali fadhil
  • album
    • 2013/2014
    • 2013
    • 2012
    • 2011
    • 2010
    • ashke rawaan (1971)
    • old/unknown >
      • old maatam
  • language
    • arabic
    • english
    • persian (farsi)
    • other
  • guestbook
  • contact
old maatam - special moharram
jhula jhulaana ise

jhula jhulaana ise ay zameene karbala
loriyaan dena ise ay zameene karbala

jee se niraasa hai ye bhuka piyaasa hai ye
dudh pilaana ise ay zameene karbala

naazon ka paala hai ye raaton ka jaaga hai ye
god me lena ise ay zameene karbala

khaas musalmaan hai ye asghare naadaan hai ye
paani pilaana ise ay zameene karbala
laashe pe zainab ro ke pukaari

laashe pe zainab ro ke pukaari
bhaya hamaara koyi nahi
khaime jale aur sajjad qaidi
kafni tumhaara koyi nahi

dekho ay bhaayi mein zehra ki jaayi
laashe pe aayi hun be parda ho kar
maara gaya hai abbas ghaazi
qaasim dulaara koyi nahi

bekas yatimon ka kafel ahai
tu hi bataade kahaan leke jaawun
laashe sambhaalun ya kunbe ko dekhun
gham ka kinaara koyi nahi

karyal jawaan ki mayyat hai aayi
kehti hai leyla ay mere akbar
kis ki nazar tum ko kha gayi hai
mera sahaara koyi nahi

ammu chale aawo

ammu chale aawo, ammu chale aawo

meri khabar lene aaye na palat kar
bhul gaye mujhko tum nehr pe jaa kar
kaysi mohabbat hai ye kaisi wafa hai

rone nahi deta hai shimre sitamgar
saans ka lena bhi ab ho gaya dokar
gham ki sataayi par ye kaisi jafa hai

jhal gaya sholon me bimaar ka bistar
ab na raha baaqi gehwaara e asghar
ab mere kurte ka daaman bhi jhala hai
hal min naasir yansurna

aati hai karbal se ye sada
hal min naasir yansurna
kehta hai zahra ka beta

akbar ka laasha le aaye
dariya pe ghaazi tchor aaye
laasha e qasim laake kaha

khaime se maidaan jaa jaa ke
thak gaya wo laashe la la ke
koyi bhi jab munis na raha

aakhri lamhe jaate jaate
mera maula khaimagaah pe
behn se mil ke kehne laga
baazaar ke manzar ko

baazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko
bhuli nahi mein
apne bandhe haathon ko, bimaar ke zewar ko
bhuli nahi mein

uth ti huwi aandhi ko, wehshat ko bayaanbaan ko
tchupte huwe suraj ko, taariki ko maidaan ko
chalte huwe khanjar ko, neze pe tere sar ko

ek chaand tha badli me, tchupta tha nikalta tha
parda dare khaima ka, uth ta kabhi girta tha
wo khaima e layla se, haay rukhsate akbar ko

yaad aata hai dulhan ko, gash kis tarha aate the
ek gathri shahe waala, jab kaandhon pe laaye the
us laash ki gathri ko, us khun bhari chaadar ko

ay zuljanaah e hussain

salaam tujh pe ho zainab ka, zuljaanah e hussain
ay zuljanaah e hussain, ay zuljanaah e hussain

baraste tiron me ek tu, hi tha panaahe hussain

wo sar wo sajda wo maqtal wo asre aashura
bata lahu bhari aankhon me haaye kya kuch tha
ke tu ne dekhi hai waqte, kazaa nigaahe hussain

ye be charaag bayaabaan hai is andhere me
ye ehde shaame gharibaan hai is andhere me
tere sumon ke nishaan se, mili hai raahe hussain

zamaane bhar ka nishaana hai aur mein tanha
ye waqte asre zamaana hai aur mein tanha
mujhe panaah me la ay, panaahgaahe hussain
shaame ghariba ka ye manzar

kehti thi rokar zainabe muztar
shaame ghariba ka ye manzar

deti thi zainab ran me duhaayi
haaye mujhe kyun maut na aayi
khencha gaya bimaar ka bistar

tiron ne tcheda baap ka sina
sowe kahaan par baali sakina
nawhakuna hai wo jalti zameen par

suke huwe kuzon ki sada hai
pyaase idhar hain udhar dariya hai
nauha yehi hai wo khushk labon par
alamdaar alamdaar

roti hai zainab haaye alamdaar
pyaasi hai zainab haaye alamdaar
qaidi hai zainab haaye alamdaar

shaam chali teri bahan berida
qafela saalaar hain zainul iba
tchor ke maqtal me tujhe bekafan
jaati hun bazaar mere baawafa

qaid huwi dekh nabi zaadiyaan
baazuwon me baandhi gayi rismaan
dekhle zainab ki zara bekasi
koyi nahi koyi nahi paasbaan

dard hai tanhaayi hai faryaad me
hashr bapa hai dile naashaad me
leke chale hain ye sitamgar mujhe
alwida ay bhaayi teri yaad me

yaad teri aayegi har gaam par
qalb ko tarpaayegi har gaam par
tujh se juda hoke ye teri bahan
kehti huwi jaayegi har gaam par

le ay sakina alwida

mun chum kar sheh ne kaha le ay sakina alwida
baba tera marne chala le ay sakina alwida

baanhen gale me daal de
aur mun pe mun rakh de mere
baba tera ran ko chala
le ay sakina alwida

ab ham kahaan aur tum kahaan
dekhonge kya kya khwaariyaan
mil le gale ab meri jaan
le ay sakina alwida

haalat ye ab karna zari
baba na kehna har ghari
bin baap ki tun ho chuki
le ay sakina alwida
zahra ki dua ye maatam hai

zahra ki dua ye maatam hai
ye maatam kaise ruk jaaye

kaunayn ki har daulat dekar
is gham ki hifaazat karna hai
zahra ki tamanna puri ho
ye jaan rahe ya mit jaaye

shabbir ki khaatir jina hai
shabbir ki khaatir marna hai
ye jism rahe ya mit jaaye
mazlum ka maatam karna hai

is parcham ki izzat ke liye
abbas ne baazu de dale
is parcham ki izzat liye
ghaazi ne sahe dil par bhaale
salwaat o salaam aap pe

salwaat o salaam aap pe ya fatema zehra
ham aaye hain purse ke liye fatema zehra

rone na diya laash pe zainab ko kisi ne
ham aaye hain rone ke liye fatema zehra

beri pinhaayi aur badan zakhjmi kar diya
bimaar pe ye zulm huwa fatema zehra

durre tchine kaanon se aur maare tamaache
poti pe teri zulm huwa fatema zehra

ham dete hain pursa tumhe abbase jari ka
aur asghare beshir ka ya fatema zehra

hal chal hai fauje shaam me

tiron pe tir nezon pe neze chalaate hain
hal chal hai fauje shaam me abbas aate hain

asghar ko maan tchupaati hai jhuk jhuk ke gaud me
khaymon ko tor.. ya abbas
khaymon ko tor tor kar jab tir aate hain

dil paani paani hota hai bacchon ki pyaas se
suki zabaan.. ya abbas
suki zabaan hoton pe asghar phiraate hain

kya waqt parh gaya hai mohammad ki aal par
chaadar nahi.. ya abbas
chaadar nahi hai baalon se mun ko tchupaate hain
wo aabide bimaar tha

wo aabide bimaar tha, chalne se jo laachaar tha
aur shaam ka baazaar tha, wo mustufa ki betiyaan
maula haq imam ya hasan ya hussain, ya hussain

shabbir ki wo laadli, sine pe jo shah ke pali
jis ki abaa ban me jail, mun par tamaachon ke nishaan
maula haq imam ya hasan ya hussain, ya hussain

wo zainab o kulsum thi, chadar se jo mehrum thi
na mehramon ke darmiyaan, wo murtuza ki betiyaan
maula haq imam ya hasan ya hussain, ya hussain

wo baawafa abbas tha, dukhiyon ki jo ek aas tha
paani liya par na piya, maasum ka ehsaas tha
maula haq imam ya hasan ya hussain, ya hussain

sab ujar jaayega asr ke baad

sab ujar jaayega zehra ka makaan
asr ke baad
hoga shabbir ke khaimon me dhuaan
asr ke baad

subhe aashur to de di ali akbar ne azaan
kaun dega bhala maghrib ki azaan
asr ke baad

laash abbas ki dariya pe tarap jaayegi
jab bhi uthegi sakina ki fugaan
asr ke baad

kam se kam hai abhi bimaar ka bistar baaqi
warna taqdeer me aaraam kahaan
asr ke baad

haaye kis shaan se nikli thi amaari meri
yaad aane laga zainab ko samaan
asr ke baad
suno gham ka bayaan

suno gham ka bayaan wawayla
chashme nam ka bayaan wawayla

ghar me shaadi ki unki tayaari
dulhe qasim ki ran ko sawaari
saari khalqat ye keh ke pukaari
armaan wawayla

sehra sar se na us ne utaara
kangana baandhe hi ran ko sidhaara
tha wo noore nabi ka pyaara
jawaan wawayla

laash qasim ki ran me pari thi
fauje kuffaar saari khari thi
aankhen hazrat ki haq se lari thi
qurbaan wawayla
Powered by Create your own unique website with customizable templates.