soja meri sakina
tejani brothers - 2010
soja meri sakina
lori suna rahi hun baba ke sine se tum jab se juda huwi ho ek raat neend aayi beta nahi hai tum ko ab mein sula rahi hun aaja meri sakina mujhko yehi khabar hai dukh dard ki ho maari tum ko hai sabr karna ye bhi khuda ki marzi tu misle fatema ab banna meri sakina aayega ab na koyi bhi leke taaziyaane maarega na shimar ab rukhsaar par tamaache har ek saans pe na ghabra meri sakina kuch din me to rehaayi miljaayegi sakina zindaane gham se chhutke jaayege ham madina maadar ye kar rahi hai waada meri sakina dekho ab aagaya hai baba ka sar ay beti unko dikhaana saare chehre ke zakhm bibi jee khol ke tu ab to rona meri sakina jab neend aa gaayi thi phir khaab aayi haaye jis mein hussain apni beti se keh rahe the ab waqt aa gaaya hai aaja meri sakina jab qaid me sakina ko maut aa gayi thi baazu hila hila ke maadar ye roke boli mujhse khata huwi kya batla meri sakina aabid larazte haathon se ek lahad banaaye ye keh ke apni behna ko phir wahi litaaye kaise sahunga mein gham tera meri sakina paaye the jab rehayi ehle haram tejani baanu sisak sisak ke gir kar yehi pukaari kaise watan ko jaawun tanha meri sakina |
download mp3
|