salaam maadare hussain
irfan haidar - 2012
ya fatema ya tahera
khayrun nisa ya umme abiha salaam maadare hussain jabeen ne waqt pe likha hai bas yehi maa ho to maadare hussain si hussain paal ke jis ne diya zamaane ko jabeen ne waqt pe likha bas yahi maa ho to maadare hussain si salaam maadare hussain ye baat jaa ke kisi maa ke dil se puche koyi tum apne laal ko maqtal me dekh paawogi kaleja thaam ke wo maa kahegi sirf yehi is imtehaan se guzri thi bas wahi maa ho to maadare hussain si salaam maadare hussain hussain pushte faras se gire jo reti par sarhaane aagayi dil thaame maadare muztar laraz rahi thi khudaayi ye dekh ke manzar har ek mauje alqamaa ye keh uthi maa ho to maadare hussain si salaam maadare hussain jo dekha maa ne ke beta shadeed hai zakhmi to apne baalon se maqtal ko saaf karne lagi tarap ke ruhe khadija ye ban me kahti thi ye maa to sabr ki had se guzar gayi maa ho to maadare hussain si salaam maadare hussain laeen aaya jo teghe sitam sambhaale huwe sare hussain ko zaanu pe rakh liya maa ne khud apne laal ke zakhmo se teer bhi khentche labe rasool pe faryaad thi yahi maa ho to maadare hussain si salaam maadare hussain gire the pyaar ke aansu pisar ke zakhmo par hussain zibha huwe fatema ke haathon par ye bain aaye the us dam ali ke hoton par zameene karbobala keh ke ro pari maa ho to maadare hussain si salaam maadare hussain ye hi thi mazharo irfan tarbiyat maa ki jo karbala ke bayaabaan me rang laayi thi khiraaj pesh kiya sayyada ko rab ne bhi fizaa me gunjegi aawaaz ab yehi maa ho to maadare hussain si salaam maadare hussain hussain ya hussain kiya hussain ne reti pe shukr ka sajda subhaana rabbi al aala labe hussain pe tha ajeeb dard ka manzar tha haay waa waila sawaar pusht pe qaatil tha saamne zahra nazar ke saamne bete pe chal gayaa khanjar tarap ke reh gayi jalti zameen par maadar phir is ke baad qayaamat ki wo ghari aayi ghareeb bete ki mayyat bhi paayemaal huwi dare khayaam pe zainab ye bain karti thi mere hussain ko is zulm se bachaaye koyi hussain hogaye paamaal kuch karo ammaa pisar ke tukre ridaa me samet lo ammaa jo laashen kar chuke paamaal ahle zulm tamaam haram the nauha kunaa chaar samt tha kohraam utha kar mash’ale haathon me aaya lashkare shaam ridaayen tcheen ke saadaat ki jalaaye khayaam ghame hussain ho phir khayaam ka pahraa har ek maqaam pe zainab ke saath thi zahra |
|