hamaare ghar me maula aa rahe hain
shadman raza - 2013
ay ehle azaa phir alam o gham ke din aaye
phir taaziya o shewan o maatam ke din aaye phir bekasiye shahe do aalam ke din aaye phir aayi qayaamat ke moharram ke din aaye are phir jinn o bashar mehwe huwe aah o bukaa me are phir fatema be taab hai pyaaron ki azaa me maula aa rahe hain hamaare ghar me maula aa rahe hain azaakhaane sajaaye jaa rahe hain hamaare ghar me maula aa rahe hain kisi ki bhuk ka sadqa to dekho mere bachhe tabarruk khaa rahe hain abhi maana alam abbas ka tha abhi mannat barhaane aa rahe hain kahi bachhon ko maan rakhti hai girwi kahi sakke banaaye jaa rahe hain ye jhula ye alam taabut dekho zyaarat ko malaayek aa rahe hain bare tchoton ko mimbar par bithaa kar hai kya karbobala samjha rahe hain agar che kat chuke baazu hain lekin alam abbas ke lehra rahe hain azaa ka farsh ghar me bich chuka hai imaame asr ghar me aa rahe hain na phat jaaye kahin maan ka kaleja sina sine pe akbar khaa rahe hain ye dekha maadare qasim ne maula uthaa kar ek gathri laa rahe hain qamar dekho bichaa kar chaandni ko zameen pa aasmaan ko laa rahe hain azaakhaane sajaaye jaa rahe hain hamaare ghar me maula aa rahe hain maula aa rahe hain |