akbar mera pyaara tha
nadeem sarwar - 2011
haaye haaye
haaye ali akbar jivan ka asaasa tha piri ka sahaara tha kya jaane wo kya kya tha akbar mera pyaara raaj dulaara tha akbar ki jawaani par sau jaan se fida maadar ay kaash use dekhun ek baar nazar bharkar wo aankhon ka taara tha raaj dulaara tha ye din the jawaani ke akbar teri shaadi ke kis tarha lute armaan teri maa dukhiyaari ke aisa to na socha tha raaj dulaara tha kya khub wo surat thi naana ki shabaahat thi waabasta bahot tumse apnon ki mohabbat thi wo sab ka dulaara tha raaj dulaara tha ek daaghe alam dekar kis samt chale akbar sar kham kiye rokar beta teri raahon par baba ka ye naala tha raaj dulaara tha sine me jo bhaala hai is dil me bhi utra hai kaise ye sahu sadma ye maa ka kaleja hai wo naazon ka paala tha raaj dulaara tha maidaan se jo aate tum aur maa ko bulaate tum paani mein tumhe deti aur pyaas bujhaate tum kya maa ko pukaara tha raaj dulaara tha jab yaad teri aaye dil tumko kahaan paaye itna to bata jaawo maadar ye kahaan jaaye yun mujhko rulaana tha raaj dulaara tha jab ali shanaawar ye zikre gham sunaata hai zaakira ka ye noha har maa ko rulaata hai gham ye kitna gehra tha raaj dulaara tha |
|