achhe mere baba
nadeem sarwar - 2010
haaye kya aalame tanhaayi hai
jab aakhri rukhsat ko chale sayyade waala kohraam tha dil hote the gham se taho baala shabbir ne godi se sakina ko utaara ghaazi ko kabhi akbar o qaasim ko pukaara baba ko qasam deke bulaati thi sakina sar pit’ti piche se chali jaati thi sakina achhe mere baba haaye kya aalame tanhaayi hai achhe mere baba na sakina se chupaana kahin bhul na jaana dil rota hai kyun pehna hai malbus puraana kahin bhul na jaana is tarha safar par koyi jaata nahi dekha pehne tumhe aisa kabhi kurta nahi dekha mein jaan gayi aaj hai maqtal me thikaana kahin bhul na jaana sheh bole mein qurbaan meri jaan sakina ek waada hai jo aaj nibhaana hai sakina khaimon se nikal kar na hame dhundhne aana kahin bhul na jaana kal raat se bechain the mein dekh rahi thi mein sine pe leti thi magar soyi kahaan thi ab samjhi tumhe ham se bohat dur hai jaana kahin bhul na jaana aata hai nazar haal gharibi ka tumhaari lagta hai ye saamaan yatimi ka hamaari baba hame jine nahi dega ye zamaana kahin bhul na jaana akbar kabhi asghar kabhi qaasim ne rulaaya jo ran ko gaya aaj palat kar nahi aaya bhuli nahi ab tak mein chacha jaan ka jaana kahin bhul na jaana pehlu se shahe din ke na hat’ti thi sakina daaman kabhi qadmo se lipat’ti thi sakina tarhpaata hai ye aap ka daaman ko churhaana kahin bhul na jaana ay sarwar o rehaan ye kehne lage sarwar ham bhi wahin jaate hai jahaan sote hain asghar beti phuphi ammaa ko na ro ro ke rulaana kahin bhul na jaana |
|