aashur ka manzar hai
shadman raza - 2013
asbaab lut chuka hai khaime bhi jal chuke hain
zulm o sitam ke suraj aahon me dhal chuke hain ek laasha e besar hai aur zainab kuffaar ka lashkar hai aur zainab aashur ka manzar hai aur zainab bhaayi ki laash ran me uryaan pari huwi hai hamshir sar barehna be aasra khari hai ab sog ki chaadar hai aur zainab kuffaar ka lashkar hai aur zainab nana ki qabr chuti haaye watan bhi chutaa wo ghar jo faatema ka kal tak basaa huwa tha ujra huwa wo ghar hai aur zainab kuffaar ka lashkar hai aur zainab qaasim ki laash dekhi akbar ki laash dekhi abbase baawafa ki asghar ki laash dekhi ab laashe baraadar hai aur zainab kuffaar ka lashkar hai aur zainab shole bharak rahe hain gulzaare panjetan me ehle haram ke baazu baandhe hai ek rasan me islam ka lashkar hai aur zainab kuffaar ka lashkar hai aur zainab kufe ki shaahzaadi sar par rida nahi hai ye haal hai ke koyi pehchaanta nahi hai darbaare sitamgar hai aur zainab kuffaar ka lashkar hai aur zainab mehshar khuluse dil se kar zikr panjetan ka likh apne aansuwon se nauha shahe zaman ka phir tera muqaddar hai aur zainab kuffaar ka lashkar hai aur zainab aashur ka manzar hai aur zainab |