ye maula ali hai
ye maula ali maula ali maula ali hai
ye maula ali hai himmat thi ye kis me dare khaybar ko ukhaare antar ko kare zer to marhab ko patchaare gehwaare me lete huwe ajgar ko bhi phaare dube huwe suraj ko jo maghrib se ubhaare ye kaun ajaaeb ka mazhar kaun wali hai kaabe se imaamat ki kiran phut rahi hai hal chal hai malaaik me ke saf tut rahi hai kuffar o munafiq ki kamar tut rahi hai makke ki zameen durre najaf lut rahi hai qudsi ki sadaa ta ba falaq sirf yehi hai hijrat ki raat jaanein mohammad pe bani hain ek jaan hai khatre me to ek jaan bachi hai bistar pe hai koyi koyi hamraahe nabi hai dushman ye samajhte hain ke chaadar me nabi hai ye kaun hai bistar pe jo hamshakle nabi hai allah ka wali lam yazali maula ali hai ehmad ka wasi kashke wali maula ali hai khaybar ka ghani naade ali maula ali hai mehshar ka shafi noore jali maula ali hai kehta hai taqi haa wohi sakhiyon ka sakhi hai |
|