rahe salaamat ishqe hussaini
irfan haidar - 2012
ya hussain
hussain maula hussain sina pe bol raha hai hussain ibne ali lahu me apne naha kar hazaar sadme utha kar yazidiyat ko mita kar khuda ke deen ka parcham baland maine kiya kisi yazeed me taaqat kahaan jhukaaye mujhe safar ba noke sina par pasand maine kiya sune ye saara zamaana hussain ki aawaaz ash’hado an la elaha illalla ash’hado anna mohammad ur rasulallah ash’hado anna aliyun valiullah qubul is liye neze ki nok ki maine mera kata huwa sar dushmanon se past na ho mein sar uthaaye huwe dushmanon se kehta hun hussain hota wahi hai jise shikast na ho mere azaadaaro ay mere ghamkhaaro tumhaare azm ko mera salaam maula hussain sarkaar farmaate hain ye mera ishq hai jo lahu banke tumhaari ragon me daur raha hai rahe salaamat ta qayaamat rahe salaamat ishqe hussaini range wafa dikhlaata hai warna kaun kisi ki khaatir apna khun bahaata hai rahe salaamat ta qayaamat rahe salamat ishqe hussaini range wafa dikhlaata hai ye kaale kapre jo zebe tan hain ishqe hussaini ki hai daleel jhule amaari taaziyadaari sina zani paani ki sabil ehle aza ko ye tehzeebe ishqe hussain sikhaata hai ye chote bachche aur shab bedaari yun to bara mushkil hai safar socho agar tum ahle zamana ishqe hussaini ka hai asar ishqe hussain hi in bachchon ko farshe aza tak laata hai dekho zara tum kaabe me jaakar sirf musalmaan honge wahaan farshe aza wo waahid jagah hai apne paraaye sab hai jahaan aata wahi hai farshe aza par jisko hussain bulaata hai wo jo bina-e farshe aza hai ham hain usi bibi ki duaayen ishqe hussaini tha uske dil me aur ham ko virse me mila jisko mila virse me ye maatam ahle aza kehlaata hai ishqe hussaini dil me basaa kar zinda rakhi ghazi ne wafa jis ne wafa ko zinda rakha hai baali sakina ka hai chacha usko dua deti hai sakina jo bhi alam ko uthaata hai ishqe hussaini se hain namazein ishqe hussaini farshe aza ishqe hussaini sholon pe chalne sina zani zanjeer o kama ishqe hussaini ki taaqat se maatami khun me nahaata hai suno mazhar o irfan ay azaadaaraane man yehi wo shohada-e karbala hain jinhon ne halmin ki sada par labbaik kaha aur mere iskq me apni jaanon ka nazraana pesh kiya muslim bin awsaja, anas bin haaris burayre hamdani, hanzala bin asad abdur rahman gaffaari, saif bin haris hur, habib, john, abusamama umro bin ansaari, shojab bin abdullah aabis bin shabib, abdullah gaffari wahbe kalbi, abu shahasa shabeeb bin abdullah, ammar ibne hassan junada bin kaab, junada bin haris saeed ibne haaris, zohair ibne qain saif bin malik, noman ibne umar nafi ibne hilaal, salman ibne mazarib ali bin hur, musab reyahi sawaar ibne umair, umar bin jandab zargaama bin malik, aslam ghulame turki imran bin kaab, qarib bin abdullah muslim bin kasir naeem bin aglan abdullah bin sabeet, umar bin khaalid saeed ibne abdullah, jaabir ibne hajjaz bakar ibne haai, hajjaj bin masruk abdullah bin muslim, mohammad bin muslim jafar ibne aqeel, abdur rahman ibne aqeel habsha bin qais, zahid bin umro sawair ibne umro, nasar bin abi naizar abdullah bin umair, umro bin ansari habab bin aamir, habab bin haaris haaris ibne binhan, jundab ibne hajeer ammar ibne abi salama, munjaeb bin sahem mohammad bin saeed, mohammad bin abdullah aon bin abdullah, qasim ibne hasan mohammad bin hasan, mohammad bin ali abdullah bin ali, imran ibne ali jafar ibne ali, abdullah bin hasan abbas ibne ali, ali asghar ali akbar, maula hussain |
|