qaidi hun mein baba jaan
nadeem sarwar - 2012
qaidi hun mein baba jaan
ab shaahzaadi kahaan qaidi hun mein baba jaan ab shaahzaadi kahaan na apna wo ghar hai na apna madina wo baahein tchachaa ki tumhaara wo sinaa bolo khudaara tum ho kahaan mein kahaan qaidi hun mein baba jaan jis din se tumse judaa ho gayi hun dekho to baba mein kya ho gayi hun ujra makaan hai rehti hun ab mein jahaan qaidi hun mein baba jaan kehti na thi dekho na jaawo baba taras khaawo mujh par taras khaao baba tum kya gaye ho mujh par ghira aasmaan qaidi hun mein baba jaan jaise hi neze pe tum aaye baba maine tamaache bohot khaaye baba rukhsaar par hain abhi tak sitam ke nishaan qaidi hun mein baba jaan maanga kaneezi me baba kisi ne phenka meri samt sadqa kisi ne paidal chali hun kaanton ke mein darmyaan qaidi hun mein baba jaan milne ko ham se tchale aawo baba ek baar tchehra dikha jaawo baba ay pyaare baba phir ham kahaan tu kahaan qaidi hun mein baba jaan tchalo shaam tchalte hain rehan o sarwar vahaan dekhna kya hai tchehlum ka manzar bibi sakina karti hai ab tak fughaan qaidi hun mein baba jaan ab shaazaadi kahaan |
|