nauha kuna hai zainabe muztar
sajid jafri - 2003
nauha kuna hai zainabe muztar ali ke baad
kohraam hai machaa huwa ghar ghar ali ke baad mehraab gham zadaa hai namaazi kidhar gaya viraan hai rasool ka mimbar ali ke baad manzar ubhar ke aa gaya baazaare shaam ka zainab ke sar se jab giri chaadar ali ke baad shehzaadi ban ke aayi thi kufe me kal yahi dar dar phiri hai zainabe muztar ali ke baad jo sar tha bosa gaahe ali o mohammadi neze pe char gaya hai wohi sar ali ke baad kuch khune murtaza ki hai kuch karbala ki hai surkhi jo chaa gayi hai falak par ali ke baad asghar ka nau nehaal bhi khun me nahaa gaya ujra hai is tarha se bharaa ghar ali ke baad dekho sitam zamaan ka zindaane shaam ka rote rahe hain aale payambar ali ke baad guzra hai ye misaal ha is ghar pe ay zafar zehra ki betiyaan hain khule sar ali ke baad nauha kuna hai zainabe muztar ali ke baad |
|