mein azaadaar rahun
faraz hussain - 2012
hayya alaa khayril amal ya hussain
dil ka ye muddua qabul karo mere saahib dua qabul karo tera banda mere sarkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun lazzate khaake shifaa ki khaatir zakhme maatam ko dawaa ki khaatir chaahta ye hun ke bimaar rahun mere maula mein azaadaar rahun tera banda mere sarkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun apne seene ki tahaarat kar lun maatami haathon se khidmat kar lun is ibaadat ka sazaawaar rahun mere maula mein azaadaar rahun tera banda mere sarkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun mashk taabut alam aur jhula taaziaa nazr o niaaze shohada in ke munkir se mein bezaar rahun mere maula mein azadaar rahun tera banda mere sarkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun jo khushi un ki khushi wo meri un ke gham me na kabhi aaye kami sog un ka ho to ghamkhwaar rahun mere maula mein azaadaar rahun tera banda mere sarkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun zaakiro nauhagaro nauha khwaan mere maa baap hon tum par qurbaan ye dua do ke mein bedaar rahun mere maula mein azaadaar rahun tera banda mere sarkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun wo jo be tegh laraa teeron se naqshe pa jis ke zameen par na pare us ka gehwaaraye bardaar rahun mere maula mein azaadar rahun tera banda mere sarkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun beriyaan tauq pehan kar jo chalaa khun chauntis baras jo roya gham me un ke mein giraftaar rahun mere maula mein azaadaar rahun tera banda mere sarkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun baaniye farshe azaa wo zainab parda dunia ka bachaa jis ke sabab us ki mazlumi pe khunbaar rahun mera maula mein azaadaar rahun tera banda mere sarkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun dekho rehaan o faraaze muztar gham ke badle koyi jannat de agar ban ke shabbir ka inkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun tera banda mere sarkaar rahun mere maula mein azaadaar rahun |
|