karbala me bula
tejani brothers - 2012
allahumma arzuqna ziyaarat al hussain
karbala me bula apna roza dikha ya shahe karbala us jagaa pe rakhenge ham apni jabeen chum ke khaak ko hoga ham ko yaqeen ye wohi khaak hai ye wohi sar zameen mere aaqa hussain ab hame do sadaa ya shahe karbala karbala me bula apna roza dikha ya shahe karbala jis jagaa pe ghira tha tera baawafa aakhri saans me jis ne di ye sadaa is jagaa se hataawo na laasha meraa ham ko hai dekhnaa wo labe al qamaa karbala me bula apna roza dikha ya shahe karbala jis zameen pe paraa teraa karyal jawaan khaake apne jigar me wo haaye sinaa tum ko akbar ka ham denge pursa wahaan aur wahaan har ghari ham karenge azaa karbala me bula apna roza dikha ya shahe karbala nannaa saa wo galaa jis jagaa chhid gayaa aur tha uska khun tere mun pe malaa suwe khaymaa khari maan ne di ye sadaa paani ka ghunt bhi kya mayassar huwa karbala me bula apna roza dikha ya shahe karbala bepisar maaon ko maula dede pisar jis ke dil me dua hai wo maqbul kar hai ye sabko yaqeen hai ye sabko khabar tu hai mushkil kushaa tu hai haajat rawaa ya shahe karbala karbala me bula apna roza dikha ya shahe karbala maula aabid ka hai aapko waasta laadawa jo mareez hai unhe de shafaa ham ko hai aasraa har gahri aapka aapka naam hi hai baraa mojezaa ya shahe karbala karbala me bula apna roza dikha ya shahe karbala tere roze pe jab jaayengi ye nazar ashk behta rahenga tere naam par rowenge kehke ye dil ko ham thaam kar ham ko hai ye yaqeen khuld hai karbala ya shahe karbala karbala me bula apna roza dikha ya shahe karbala aake dekhenge ham maula tera mazaar lab pe us pal tejani ki hogi pukaar ho chuka hai tamaam maula ab intezaar ab yahaan chaaho to dedo ham ko qaza karbala me bula apna roza dikha ya shahe karbala |
|