jab yaad sakina ko
ashke rawaan - 1971
jab yaad sakina ko teri aati hai baba
sar zindaan ki diwaaron se takraati hai baba kaanon se tapakta hai lahu shaanoon pe dekho zaalim ki aziyat mujhe tarpaati hai baba mar jaawungi pyaasi na kabhi maangungi paani asghar ki mujhe pyaas jo yaad aati hai baba jab tak tere seene se na lag jaaye sakina zindaan me use neend kahaan aati hai baba jalte huwe khaimon ke nazaare hain nazar me ye baat khayaalon se kahaan jaati hai baba yaad aate hain jab shimre sitemgar ke mazaalim ye nanni si dukhtar teri ghabraati hai baba hai kaun mere paas jiyun kis ke sahaare tanhaayi meri maut bani jaati hai baba |