faatahe lashkar ali ali
farhan ali waris - 2013
allah allah
hayya ala khairil amal har gustaakhe rasul ko dunya se ham mitaayenge har gustaakhe ehle bayt ko dunya se ham mitaayenge jo ali ka nahin wo nabi ka nahin jo nabi ka nahin wo khuda ka nahin jo khuda ka nahin wo kisi ka nahin hai dil me hamaare ishqe ali hai dil me hamaare ishqe nabi har dushmane aale mohammad eilaan hamaara sun le ham ko maalum hai maqtal se guzarna kya hai ruh zinda hai to phir jism ka marna kya hai baad az marg hame ishq rakhega zinda kar liya ishq to phir maut se darna kiya hai seenon me shauqe shahaadat basaa ke haathon me ghaazi ka parcham utha ke paighaam dete huwe karbala ke barhte rahein zulmaton ko mitaa ke zindagi ko waqf karke hussain ke naam bas ek naara ho wirde zabaan barhhta rahe kaarwaan jiyo hussaini jawaan hai mire kaarwaan faatahe lashkar ya ali ya ali maula ali hal min naasirin yan surana ham noha khwaan aur iraade hamaare talwaar hain ek do nahin balke saare ke saare mukhtaar hain nauhe ke alfaaz denge gawaahi ham hain imaame zamaan ke sipaahi jurrat me meesum wilaayat ke raahi thhokar me rakhte hain ham takhte shaahi kaafi hai bas sayyada ki duaa hi mil ke bolein saare momin peer o jawaan daste karam ho imaame zamaan laashe uthaaye uthaate rahenge majlis me jaate hain jaate rahenge tufaan to aate hain aate rahenge ham apni himmat barhhaate rahenge ghar lute ya jaan jaaye khuda ki qasam dete rahenge yehi ham azaan hayya ala khairil amal maula imaam hussain (as) farmaate hain agar zindagi ka ikhtetaam maut par hi hai to us ka behtareen intekhaab shahaadat hai wirsa hai hamaara shahaadat shahaadat shahaadat kehte hain jise ham sa’aadat sa’aadat sa’aadat karam hussain ka mujh par mazeed hojaaye marun to lehed me maula ki deed hojaaye ajeeb jazba hai ajeeb jazba hai har maan duaayein karti hai khuda kare mera bachha shaheed hojaaye ay maan khuch khauf nahin ab mujhe izzat me kami ka shajra hai khuda rakhe hussaini hassani ka likh dena kafan par mere bas tum ali waaris khud qabr samajh jaayegi banda hun ali ka shaheed zinda hai shaheed zinda hai shaheed qabr ki jaanib chala to aise chala dil me haider ki wila mun pe male khaake shifa saath maatam ke nishaan aur shahaadat naama jab huwa qabr me daakhil to ye manzar dekha misle gulshan ke tar o taaza nazar aati hai qabr to khuld ka darwaaza nazar aati hai shaheed zinda hai shaheed zinda hai di nida haatife ghaibi ne ke ab ho hoshyaar murtaza qabr me aate hain basad izz o wiqaar meri turbat me ajab tarha ki aayi hai bahaar kya haseen maut hai is maut pe so zeest nisaar mera mola meri turbat me chala aaya hai asl me ab mujhe marne ka maza aaya hai shaheed zindah hai shaheed zindah hai ay ehle jahaan socho to zara hai fikr ki jaa rone ki fazaa jab apna koyi marjaata hai karbal ka kafan wo paata hai ehbaab o aziz aur dost sabhi rone ke liye aa jaate hain kis shaan se apne pyaaron ki mayyat ko sabhi dafnaate hain afsos magar zehra ka pisar ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain afsos magar zehra ka pisar chaalis dinon tak be sar tha us laashe pe sadqe kaun o makaan na kafan mila na dafn huwa haaye had huwa karti hai har zulm ke afsaane ki zulm sehne ki sitam sehne ki gham khaane ki kalma goyo yehi ek baat hai rulwaane ki rasm hai saare musalmaanon me dafnaane ki par mohammad ke nawaase ko kafan bhi na mila rone ke liye kaafi hai ay mazhar o farhaan paaya kafan shaheedon ne aur dafn ka saamaan par mohammad ke nawaase ko kafan bhi na mila hussain mola hussain mola |