bhaayi abbas tere gham me
shadman raza - 2013
khun me tar jism hai abbas ka saahil pe paraa
aankh me tir hai kaise ho ziyaarat maula kat chuke haath hain baazu se kare kaise salaam thaam kar tuti kamar bhaayi se bole ye imaam ro ke bole shahe abraar ho gaya qatl alamdaar kamar tut gayi bhaayi abbas tere gham me kamar tut gayi saaniye haidare karraar tha mera bhaayi ek faulaad ki diwaar tha mera bhaayi gir gayi ghar ki wo diwaar ho gaya qatl alamdaar kamar tut gayi haaye bechainiyaan barhti hain sukun saara gaya dun sakina ko khabar kaise chacha maara gaya chal gayi qalb pe talwaar ho gaya qatl alamdaar kamar tut gayi qatl saqqa khaimon me na aaya paani ek qatra bhi sakina ne na paaya paani ho gayi tiron ki bochaar ho gaya qatl alamdaar kamar tut gayi laash akbar ki uthaana bhi abhi baaqi hai qabr asghar ki banaana bhi abhi baaqi hai al madad haidare karraar ho gaya qatl alamdaar kamar tut gayi jab giraa ret pe sehra me tapesh barhti thi har qadam par mere zakhmon ki khalesh barhti thi koyi munis na madadgaar ho gaya qatl alamdaar kamar tut gayi boj hai bhaayi ka sadma ye mere seene par khaak hi khaak hai ab khaak is jeene par ho gayi zindagi bekaar ho gaya qatl alamdaar kamar tut gayi bhaayi maara gaya zainab ko bataawun kaise leke mein khaali alam khaimone me kaise do qadam chalna hai dushwaar ho gaya qatl alamdaar kamar tut gayi shadman [......] jab gardishe gham aati thi ran me be baazuwon ki laash tarap jaati thi kehte the jab shahe abraar ho gaya qatl alamdaar kamar tut gayi |