ana ibne makka o mina
nadeem sarwar - 2012
bayaan karta hun darbaare shaam ka manzar
jahaan the saath sau kursi nasheen fitna gar yazeed jham raha tha sharaab pi pi kar aur aisi bazm me afsos aale paighambar tha un ke samne ek bad kalaam mimbar par bayaan karta tha jhuthe yazeed ke johar jab us ne khatm ki taqreer bad kalami par khateebe jahal se bole ye aabide muztar ke tu ne khush kiya makhluq ko zarur magar khareeda qehre khuda tu ne mukhtasar zar par are jahaan ho zikre bad atwaar wo mimbar kab hai lakriyon ka hai wo ambaar wo mimbar kab hai kahaa yazeed se kuch main kahun ijaazat de yazeed chup tha to darbari saare kehne lage yazeed de de ijaazat ise bhi kehne de ye kya kahega larazta hai jo naqaahat se sambhaale tauq o rasan shaane kirdegaar aayi imaam aaye ke mimbar pe zulfiqar aayi ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain jis ka mimbar tha wo hi bar sare mimbar aaya wo akela tha magar surate lashkar aaya lab kusha surate quraan wo haidar aaya jab wo khamosh zabaan bar sare darbaar chali karbala me na chali thi jo wo talwaar chali ana ibne makka o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema lehja e noor me mola ne kahaa bismillah laayeqe hamd o sanaa hai to wo hi ek khuda jis ne ham aale muhammad ko hai takhleeq kiya jis ko malum hai malum hai mera shajraa jo nahin jaanta wo sun le ta’arruf mera ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema ham ko allah ne tchhe khubiyaan bakhshi bakhuda ilm aur hilm diya aur dile momin me rakhaa hai samaa'at wa fasaahat wa shujaa'at wirsa kam na thi khubiyaan tchhe jo ke ye izzat ke liye sifatain saath mili aur fazeelat ke liye ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema ham me awwal jo the wo ahmade mukhtaar huwe koyi hamza to koyi jaafar e tayyar huwe ham hi haidar huwe abbase alamdaar huwe ham ko mairaje risaalat bhi imaamat bhi mili ham ko mehrabe ibadat main shahadat bhi mili ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema us ka farzand hun seh ruz raha jo pyaasa darmiyaan zeen o zameen jis ka raha tha laasha jis ke sajde ke sabab khaak bani khaake shifaa khaak aur khoon me duba tha amaama jis ka sume asb’ha tale ronda gaya laasha jis ka ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema ahle insaaf ab insaaf se itna keh de jis ki chaukhat pe salaami ko farishte utre nauke neza se laeen un ki ridaayen lute tum ne khaime nahin allah ka ghar khaak kiya kalma parh parh ke muhammad ka jigar chaak kiya ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema jis ke parde ke liye aayate tathear aayi sang barsaate huwe un pe yahaan tak laayi haif hai ruhe muhammad se na tum sharmaaye ham ne paabande rasan ho ke tujhe maara hai ibne marjaana tu jeeta to nahin haara hai ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema baat jab khul gayi saadaate muhammad hain yahaan ro diye ehle jafaa ubhra baghaawat ka samaan aur isi shor me haakim ne diya hukme azaan saat afraad jo yek mosht azaan dene lage haq me sajjaad ke darbaari bayaan dene lage ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema jab mo'azzin ne kiya kalma e takbeer adaa bole sajjaad buzurgi hai usi ko ziba jaise hi naam muhammad ka mo'azzin ne liya mur ke haakim se kaha tere iraade bad hain ye muhammad hain tumhare ke hamaare jad hain ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema aib kyun apne chupata hai azaanen de kar the agar tere muhammad to sitam kyun ham par daal is tauq pe zanjeer pe ek baar nazar zakhm jo tu ne diye sab dile bimaar me hain betiyaan hain ye muhammad ki jo darbaar me hain ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema tu to kehta hai ke hai dhong na'uzobillah na payambar na wahi aayi na qur’aan utraa phir azaanen bhi tu darbaar me hai dilwaata le munaafiq tere chehre se utarti hai naqaab jis ka munkir hai wo qur’aan tera lega hisaab ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema is shaqaawat pe bhi ham haare nahin jeet gaye naam azaanon me tumhaare nahin ham jeet gaye kya ye qudrat ke ishaare nahin ham jeet gaye yek ba yek fathe mobeen sab ko nazar aane lagi marhaba sayyade sajjaad sadaa chhaane lagi bole phir aabide bimaar ye izzat dekhi dekhi ye takhte sitamgaar ye izzat dekhi phir gayaa tujh se ye darbaar ye izzat dekhi jis ka haami ho khuda kaun use zillat de izzaten us ki hai allah jise izzat de haaye hussaina haaye hussaina utre mimbar se to baba ke kate sar ne kahaa marhaba ay mere sajjaad ghareebe zehra mo'jiza sarwar o rehan falak ne dekha khutba e zainab o sajjaad ne wo kaam kiya hashr tak zikre hussain ibne ali aam kiya |
|