islyrics
  • home
  • index
    • all nawha
    • all manqabat
    • other
  • topic
    • allah hamd
    • karbala >
      • muslim bin aqeel
      • departure from madina
      • fatema sughra
      • as'haabe imam
      • aun o mohammad
      • qaasim
      • abalfazl abbas
      • ali akbar
      • ali asghar
      • imam hussain as
      • shaame ghariba
      • bibi sakina
      • syeda zainab sa
      • shaam - kufa
      • imam sajjad as
      • back to madina
    • azaadari hussainiyat
    • imam zamaan ajtf
    • du'a
    • wilaadat >
      • milaad un nabi
      • syeda fatema sa
      • 1 imam ali as
      • 2 imam hassan as
      • 3 imam hussain as
      • 4 imam sajjad as
      • 5 imam baqer as
      • 6 imam sadeq as
      • 7 imam kazem as
      • 8 imam raza as
      • 9 imam jawad as
      • 10 imam hadi as
      • 11 imam askari as
    • shahaadat >
      • hazrat mohammad sa
      • syeda fatema sa
      • 1 imam ali as
      • 2 imam hassan as
      • 3 imam hussain as
      • 4 imam sajjad as
      • 5 imam baqer as
      • 6 imam sadeq as
      • 7 imam kazem as
      • 8 imam raza as
      • 9 imam jawad as
      • 10 imam hadi as
      • 11 imam askari as
    • other
  • artist
    • nadeem sarwar
    • tejani brothers
    • shadman raza
    • farhan ali waris
    • other >
      • mesum abbas
      • irfan haidar
      • shahid baltistani
      • faraz hussain
      • hashim sisters
      • rizwan zaidi
      • hussain virji
      • ali safdar
      • fatemah ladak
      • mir hassan mir
      • fatima and batul dhamani
      • hasan sadiq
      • kazim rahemtullah
      • musayyab rizwi
      • master ghulam abbas
      • sajid jafri
      • zeeshan haidar
      • nasir zaidi
      • ali deep rizvi
      • ali charania
      • ayaz abbas
      • ali haidar
    • sami yusuf
    • ali haidar
    • farhan ali qadri
    • ali fadhil
  • album
    • 2013/2014
    • 2013
    • 2012
    • 2011
    • 2010
    • ashke rawaan (1971)
    • old/unknown >
      • old maatam
  • language
    • arabic
    • english
    • persian (farsi)
    • other
  • guestbook
  • contact

zindaan se rehaa ho ke
nadeem sarwar - 2011

gham khaayegi zainab marjaayegi zainab
zindaan se rehaa ho ke jo ghar jaayegi zainab

bin bhaayi ke jaayegi to marjaayegi zainab
zindaan se rehaa ho ke jo ghar jaayegi zainab

ghar lut gaya pardes me viraan hai dunya
zindaan se rehaa ho ke bhi zindaan hai dunya
is qaid se ghar jaa ke bhi kya paayegi zainab

sunaa hai makaan jis me wo shehdaayi na honge
ghar hoga magar ghar me mere bhaayi na honge
ta hashr yehi bhaayi ka gham  khaayegi zainab

bachpan hai jahaan aun o mohammad ne guzaara
ab un dar o diwaar ki tanhaayi ne maara
ab un ke na saaye me kabhi jaayegi zainab

be aas mujhe kar gaye bachhe mere kamsin
bin beton ke kehlaayi to kehlaayi mein lekin
bin bhaayi ke dunya me na kehlaayegi zainab

is baat pe hayrat hai bahot ehle watan me
abbas se bhaayi ki bahan aur rasan me
rudaad ye kis tarha se batlaayegi zainab

aaya na koyi laut ke bhaayi tera sughra
sunaa hi rahega bani haashim ka mahella
kya deke dilaase use behlaayegi zainab

haaye roti huwi jab jaawungi naana ki lahad par
aur maajra puchegi wahaan ruhe payambar
kurta wo phata bhaayi ka dikhlaayegi zainab

aaya na hilaal aisa kada waqt kisi par
kis kis ke liye royegi ye bekas o muztar
kis kis ka wahaan faateha dilwaayegi zainab
telecharger fichier mp3 ici
[clic-droit, enregistrer la cible]
Powered by Create your own unique website with customizable templates.