zinda rehne ke liye
shadman raza - 2012
zikre shabbir me karke jannat ataa
haq ne putchha bata aur kya tchaahiye maine lota di jannat ye kehte huwe karbala karbala karbala tchaahiye zinda rehne ke liye bas ek jazba tchaahiye karbala bas karbala thik hai darya me musa ke liye raste bane ya ali keh kar hame paani pe tchalna tchaahiye karbala bas karbala zinda rehne ke liye bas ek jazba tchaahiye tashnagi sab ki bujhane ke liye darya nahi hazrate abbas jaisa ek pyaasa tchaahiye karbala bas karbala zinda rehne ke liye bas ek jazba tchaahiye chhe mahine ke ali asghar ka ye paighaam hai jitna jina hai zaruri utna jina tchaahiye karbala bas karbala zinda rehne ke liye bas ek jazba tchaahiye aakhri sajda kiya shabbir ne ye soch kar jaisa wo maabud hai waisa hi sajda tchhahiye karbala bas karbala zinda rehne ke liye bas ek jazba tchaahiye dekhiye paakiza kitni hai dua e fatema sochiye ek maatami ko kaisa hona tchaahiye karbala bas karbala zinda rehne ke liye bas ek jazba tchaahiye kat gaya sajde me sar to keh utha ishqe hussain ab sina ki noq par quran parhna tchaahiye karbala bas karbala zinda rehne ke liye bas ek jazba tchaahiye tchaahiye bas meri beti ko sakina ki dua mere bete ko ali asghar ka sadqa tchaahiye karbala bas karbala zinda rehne ke liye bas ek jazba tchaahiye ye hussaini hain dua e sayyada hai unke sath har yazidi ko azaadaaron se dar na tchaahiye karbala bas karbala zinda rehne ke liye bas ek jazba tchaahiye aawo suraj me bitchhaate hain qamar farshe azaa har jaga par karbala ka zikr hona tchaahiye karbala bas karbala zinda rehne ke liye bas ek jazba tchaahiye |
|