zinda rehna hai to
shadman raza - 2013
zinda rehna hai to shabbir pe marna hoga
aankh se mehdiye doraan ke lahu behta hai inteqaame shahe mazlum abhi rehta hai badla lena hai to maidaan me utarna hoga haalate jang me hai ehle azaa jaagenge ham ali waale shahaadat se nahi bhaagenge maut ke khauf se zaalim ko hi darna hoga ehtejaaj apna hamesha hai usulon ki tarha ham janaazon ko uthaa lete hain phulon ki tarha har gali aur har ek shehr me dharna hoga labbaik ya hussain raah ham waar nahi karte palidon ke liye ham sahaara nahi bante hian yazidon ke liye ek samandar ki tarha ham ko bhi pharna hoga hosla lena hai bacchon ko ali asghar se josh milta hai jawaanon ko ali akbar se dub kar khoon ke darya me ubharna hoga jorhna aalame islam hai beta tumne sheh ye kehte hain ke qaasim tere tukre honge khaak par jaan meri tum ko bikharna hoga jaan sab de chuke to baat ajab sheh ne kahi jang aisi kabhi dunya ne na dekhi hogi aaj asghar ko liye ran me utarna hoga qabr bacchi ki hai zindaan me tayyaar qamar aur zanjeer me aabid hai giraftaar magar leke mayyat isi haalat me utarna hoga zinda rehna hai to shabbir pe marna hoga |