zinda rahe
nadeem sarwar - 2010
zinda rahe
ay azaadaare hussaini ye chalan zinda rahe haan azaakhaane sajaane ki lagan zinda rahe jab azaakhaana saje to dil bane farshe azaa dharhkanon me maatame shaahe zamaan zinda rahe nohakhwaan maatam ke saaye me safar karte rahen har bayaaze gham khule har anjuman zinda rahe roze aashura juluse gham ko kya raahat se kaam yaad me pyaase aseeron ki thakan zinda rahe ay azaadaaro chalo mashk o alam ke saaye me ye tajammul ye hasham ye baakpan zinda rahe jis jagaah thi maut aasaan zindagi dushwaar thi haa wahaan zehra ke saare gulbadan zinda rahe sab azaakhaane hamaare sab hi apni majlisein ay dua e sayyada ye apna pan zinda rahe chote chote se alam bachhon ke haathon me rahe dil me taabute sakina ki chubhan zinda rahe kar rahe hain ye dua zere alam sarwar hilaal ay khuda ye gham ba faize panjetan zinda rahe |
|