ya bunayya
irfan haidar - 2012
aayi makhtal me shaame gharibaan
baap ko dhundti hai sakina ya bunayya elayya elayya de raha hai sada sheh ka laasha kamsini me yatimi mili hai aag sine me gham ki lagi hai kitni raaton se soyi nahi hai aake baba ke sine pe soja ya bunayya elayya elayya chaar su hain laeenon ka lashkar haaye us par andhera sitamgar kyun nikal aayi khaime se baahar kaun dega tujhe ab sahaara ya bunayya elayya elayya haay sub’he dahum shaame ghurbat tujh pe tuti balaa ki musibat she rahi ho hamaari bhi furqat sun ke baba ka nauha chali aa ya bunayya elayya elayya le gaya hai laeen goshwaare zaalimon ne tamaache bhi maare jal chuke saare khaime tumhaare tute dil ko milega dilaasa ya bunayya elayya elayya mere sine ki aadat pari hai khaak par nind aayegi kaise zakhm tujhko kahaan sone denge tera bistar hai baba ka sina ya bunayya elayya elayya jaabajaa ran me laashen hain beta khauf khaawo agar ay hazina bhayya akbar ko aawaaz dena kehna akbar bulaate hain baba ya bunayya elayya elayya baba baba jo kehti chali ho mere laashe ko tum dhundti ho meri chaahat ko tarsi huwi ho tere gham se tarapta hai baba ya bunayya elayya elayya chur zakhmon se laasha mera hai sina tiron se mera bhara hai laashe besar ki phir bhi sada hai mere pehlu me soja sakina ya bunayya elayya elayya haaye irfan o mazhar wo manzar mil gayi baap ki laashe besar royi laashe se batchi lipat kar us ghari sheh ka laasha pukaara soja soja ay meri sakina |
|