ya ali ya hussain
ali haidar - 2013
mein tere chehre se parda hataane aayi hun
mein teri hastiye faasiq mitaane aayi hun bayaan shaahe hoda ka sunaane aayi hun bhare darbaar haqiqat bataane aayi hun hussain jit gaye aur yazeed haara hai hussain jit gaye aur yazeed haara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain ya ali ya hussain jab ke baazaaron me lut kar wo qaafela pohntcha haakime waqt ne darbaar me bula bheja bibi se sab ki shahaadat ka waaqea putcha ro ke zahra ki pali ne yazeed se ye kaha zameen ki gaud me arshe bari ka taara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain ya ali ya hussain kiya zainab se la'een zaade ne kuch aise kalaam dekh le auj mera mera muqaddar mera naam maine kunbe ko tere qatl kiya tashnakaam ro ke kehne lagi ye khaahare mazlum imaam tere sitam ne kiya haal ye hamaara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain ya ali ya hussain ro ke zainab ne kaha tu hai sitamgar ba qisaal hamsari tu kare bhaayi ki meri teri majaal dushmane din hai tu aur wo hai shaedaa e zuljalaal tu hai kaafir ka pisar aur wo haidar ka hai laal tu la'een zaada wo islaam ka sitaara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain ya ali ya hussain kya teri zaat hai kya takht tera taaj hai kya bhaayi ko rab ne banaaya mere shaahe do sara yehi manzoor tha khaaliq ko mere o behaya qatl shabbir ho tchin jaaye haram ka parda razaaye rab ke liye sab hame gawaara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain ya ali ya hussain ummate jad ke liye bhaayi ne sar apna diya isi ummat ke liye maine bhi dedi ye rida peshe ma'bood hai maqbool hamaara hadiya kaafi hai aya e tatheer ki saron pe rida khuda ki raah me hadiya ye ghar hamaara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain ya ali ya hussain kiske jad ko kiya khaaliq ne khaateme ambiya kiske baba ko laqab saaqiye kawsar ka mila kiski maadar hai jise kehte hain sab khairun nisaa khuda ke baad bila farz huwi kiski bataa orooj aisa hamaara hai ke tumhaara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain ya ali ya hussain tha mohammad ko to kaafir ki bhi hurmat ka khayaal haath se tere huwa aale mohammad ka ye haal mun tchupaane ko na burqa na rida hai na rumaal apne chehre pe bandhe haathon se bikhraaye hain baal ab na yaawar hai koyi na koyi sahaara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain ya ali ya hussain karte bay'at jo teri sayyad o shaah o sultaan phir na milta kahin bhi deene mohammad ka nishaan parta kalma kahaan tauhid ka koyi bad gumaan is liye de di mere bhaayi jaan ne apni jaan mera wo sibte nabi teshna lab sidhaara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain ya ali ya hussain tu is zafar pe hai naazaan hai jaahil o bad kaar jaan le tujhse bahot sakht khafa hai kirdegaar khush jo hota hai hame dekh ke tu hi ghamkhaar honge kuch waqt me haami tere tujhse bezaar ye kaamyaabi nahi hai faqat khasaara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain ya ali ya hussain bas ay waahid tu qalam rok ke phat'ta hai jigar aankh bar aati hai jab sochta hun wo manzar sehme simte huwe qaidi wo shaah ki khaahar bhare darbaar me ye kehti rahi wo ro kar ali ke laal ko mehmaan bula ke maara hai bhare darbaar me zainab ka yehi naara hai ya ali ya hussain hussain hussain hussain hussain |