sare hussain
fatemah ladak - 2012
sare hussain sakina ki god me aaja
yazeed aaj mera imtehaan leta hai khari hai haathon ko pehlaaye gham zada dukhiya yazeed aaj mera imtehaan leta hai wo has ke kehta hai dekhun to kaisi ulfat thi sunaa hai shaah ko tum se bari mohabbat thi tumhaare haath me ab meri laaj hai baba yazeed aaj mera imtehaan leta hai hamesha baat sakina ki aap ne maani hamaari aas kabhi aaj tak nahin taali subut chaahiye zaalim ko is mohabbat ka yazeed aaj mera imtehaan leta hai kafan se haath nikaale the meri daadi ne wo ghar ki baat thi ulfat ke bhi takaaze the magar yahaan pe sakina hai aur phir ye jafaa yazeed aaj mera imtehaan leta hai zameene karbobala par wo karwaten legi ye sun ke laashe alamdaar kaamp utthegi khuda kare na sune baat ye mera saqqaa yazeed aaj mera imtehaan leta hai duaayen karte hain ehle haram ye roro ke khuda hussain ki beti ko kaamyaab kare nazar jhukaaye hai beemaare karbala mera yazeed aaj mera imtehaan leta hai mujhe bhi apne masaayib sunaaiye baba jale huwe mere daaman me aayiye baba sitam hai aaj tamaashaayi bangayi duniya yazeed aaj mera imtehaan leta hai mila jo ajre risaalat bataawungi tum ko gale pe neel rasan ke dikhaawungi tum ko musibaton se guzartaa hai bachpanaa mera yazeed aaj mera imtehaan leta hai mohabbaton ka takallum ye mojizaa dekha sare hussain sakina ki god me aaya na aayi baali sakina ke phir labon pe sadaa yazeed aaj mera imtehaan leta hai sare hussain sakina ki god me aaja yazeed aaj mera imtehaan leta hai |
|