sab ka hussain
farhan ali waris - 2012
allah allah
jaayen bashar ki nigaahein jahaan maujud hai teri rehmat wahaan hai teri rehmaaniyat se ayaan mehdud hai teri rehmat kahaan tere hi jaisa mohammad tera jis ke liye shaayeron ne kaha ishq hojaaye kisi se koyi chaara to nahin sirf muslim ka mohammad pe ijaara to nahin hai us mohammad ki aankhon ka chain kehta hai jis ko zamaana hussain insaaniyat pe huwa wo fida har ek muslim to kehta hi tha ab ghair muslim bhi kehne laga tera hussain mera hussain rab ka hussain sab ka hussain pyaare nabi ka nawaasa hussain aalam ka maqsood naame hussain har dil me maujud naame hussain phir kyun ho mehdood naame hussain hai hamd o mehmood naame hussain tera hussain mera hussain rab ka hussain sab ka hussain pyaare nabi ka nawaasa hussain bachpan ka waada wafa yun kiya kaaba bachaaya bhara ghar diya jo kaam kar na sake ambiya phir kyun na tu hi bata ay khuda saari duniya hussain hussain kare aaqa hussain maula hussain rab ka hussain sab ka hussain ehle sunnat wal jamaat ke buzurg shayer peer naseer-ud-din shah farmaate hain mera khuda jise auje kamaal deta hai use batool ki chaukhat pe daal deta hai parakhna ho jo kisi ko to ya hussain kaho ye naam wo hai jo shajre khangaal deta hai sunni ye kehte hain ya mustafa tu ne hi ham ko aqeeda diya tu ne hussain o minni jo kaha phir to ye kehna bhi sunnat huwa tera hussain mera hussain rab ka hussain sab ka hussain pyaare nabi ka nawaasa hussain ek hindu shayer “jay singh” ne imam hussain ki baargaah me yun nazraanaye aqeedat pesh kiya hai aaj bhi zamaane me charcha hussain ka chalta hai kaainaat me sikka hussain ka bhaarat me gar wo aate bhagwaan kehte ham har hindu naam pooja me japta hussain ka sar apna peet ti hain jo pyaason ki yaad me leti hain naam ganga o jamna hussain ka is me nahin kalaam ke ham but parast hain aankhon se apni chumenge roza hussain ka ham paapiyon ke waaste hur ki misaal hai chamkaata hai naseeb ishaara hussain ka "jay singh" panaah maangegi mujh se narag ki aag mein hindu hun magar hun mein sheda hussain ka hindu aqeede ka ailaan hai shabbir pe jaan qurbaan hai pooja ke qaabil hai bhagwaan hai kehta ye saara hindustan hai tera hussain mera hussain rab ka hussain sab ka hussain pyaare nabi ka nawaasa hussain sikh mazhab ke naamwar shaayer kanwar mahendar singh bedi kehte hain ya hussain ya hussain lab peh jab shaahe shaheedaan tera naam aata hai saamne saaqiye kausar liye jaam aata hai mujh ko bhi apni ghulaami ka sharaf de dijiyo khota sikka bhi to aaqa kabhi kaam aata hai ya hussain ya hussain tu to har deen ke har dor ke insaan ka hai kam kabhi bhi teri tauqeer na hone denge ham salaamat hain zamaane me to inshaa allah tujh ko ek qaum ki jaageer na hone denge ya hussain ya hussain dekho sikhon ke bhi afkaar me kya hai "mahendar" ke ash’aar me bola aqeedat ke izhaar me mein bhi hussaini hun sansaar me tera hussain mera hussain rab ka hussain sab ka hussain pyaare nabi ka nawaasa hussain ek isaa’i shaayer ne mola hussain se aqeedat ka izhaar khuch is andaaz se kiya faqat hai pyaar ka daawa har ek mazhab ka jahaan bhi zulm hai nafrat hai wo jehaalat hai yehi wo dars hai jo de gaye yasoo maseeh jahaan me khidmate insaaniyat ibaadat hai hussain aap ne insaaniyat ka dars diya hussain aap ne soda zameer ka na kiya hussain aap ka paighaam bhi mohabbat hai hussain aap ki duniya ko phir zaroorat hai raahib jo tha ek isaa’i tha aulaad na thi pareshaan tha sheh ne kiye saat bete ataa khush hoke dunya se kehne laga tera hussain mera hussain rab ka hussain sab ka hussain pyaare nabi ka nawaasa hussain kyun saari duniya ki hai ye sada batla rahi hai hame karbala khanjar tale sheh ne sajda kiya har zarra khaaliq se kehne laga tera hussain mera hussain rab ka hussain sab ka hussain pyaare nabi ka nawaasa hussain insaan ka mohsin shahe karbala insaan hi sheh ka qaatil bana sab kalma go the sare nainawa ehsaas kyun na kisi ko huwa tera hussain mera hussain rab ka hussain sab ka hussain pyaare nabi ka nawaasa hussain kunbe ko us ke rulaayaa gaya saydaaniyon ko kiya be rida baazaar o darbaare ehle jafa zainab ne har gaam khutba diya tera hussain mera hussain rab ka hussain sab ka hussain pyaare nabi ka nawaasa hussain kyun na kahen ye jo islaam hai shabbir ka dusra naam hai ab to jo waajib hai ye kaam hai "farhan" o "mazhar" ka paighaam hai tera hussain mera hussain rab ka hussain sab ka hussain pyaare nabi ka nawaasa hussain rab ka hussain sab ka hussain |
|