qatl alamdaar ho gaya
farhan ali waris - 2012
wawaila sad wawaila
wawaila sad wawaila kehti thi ye zainabe laachaar qatl alamdaar ho gaya hai sar se mere jaayegi dastaar qatl alamdaar ho gaya hai bain karo bibiyon haay alamdaare shah zere alam ye kaho haay alamdaare shah bhaayi ke labon peh ye buka hai zindagi ab ho gayi dushwaar qatl alamdaar ho gaya hai haathon me kuze liye bethi hai ek ghamzadah koyi bataade use kaisa sitam ho gaya ab tu yehi bain kar haay alamdaare shah aayaa nahin laut kar haay alamdaare shah mashk pe qurbaan ho gaya hai baali sakina ho khabardaar qatl alamdaar ho gaya hai bole shahe karbala furqate abbas me sab karo majlis bapa furqate abbas me mil ke parho marsiya haay alamdaare shah koyi nahin aasraa haay alamdaare shah chaaron taraf fauje ashqiya hai koyi nahin saayae deewaar qatl alamdaar ho gaya hai aankhon se ye alqamah jaari rahegi sada tujh ko mere baawafaa yaad rakhegi wafa lab pe rahenge ye bain haay alamdaare shah rota rahega hussain haay alamdaare shah jeene se bezaar hochuka hai qatl karen mujh ko sitamgaar qatl alamdaar ho gaya hai noha hai kulsum ka haay shahe karbala ho gaya mujh ko yaqeen jaayegi sar se rida dil se uthi ye sada haay alamdaare shah chhor ke mujh ko gaya haay alamdaare shah ab to har ek saans ek saza hai kaise jiye ab ye dilafgaar qatl alamdaar ho gaya hai aur bhi to ab sitam dhaayenge ye ashqiya dashte bala me mera bhaayi akela huwa mujh ko yaqeen ho gaya haay alamdaare shah jaayegi meri rida haay alamdaare shah ehle haram ki yehi sada hai ho gaye aazaad sitamgaar qatl alamdaar ho gaya hai mazhar o farhan ye gham hai qayaamat ka gham zainab o shabbir ka haal karun kya raqam lab pe yehi thi buka haay alamdaare shah daage judaayi diya haay alamdaare shah tu nahin to zindagi me kiya hai koyi nahin dasht me ghamkhwaar qatl alamdaar ho gaya hai wawaila sad wawaila wawaila sad wawaila |
|