mein hussain hun
nadeem sarwar - 2013
gunji bawaqte asr sada mein hussain
kaato na mera khushk gala mein hussain hun sukhi huwi hai shimr mere halq ki ragein aahista tu chhuri ko chala mein hussain hun amma kisi ne paani ki ek boond bhi na di mein baar baar kehta raha mein hussain hun kat ta huwa gala mera dekha na jaayega nana mein hun nawaasa tera mein hussain hun be baazuwo ki laash tarap kar ulat gayi aayi furaat par jo sada mein hussain hun zaanu pe rakh ke sar ko kaha ne ek zaeef ne akbar kahaan hai jald bataa mein hussain hun ay shaamiyo kafan na diya mujh ko gham nahi de do meri bahan ko rida mein hussain hun mehsoos ab bhi hota hai ye zaayereen ko roze se aa rahi hai sada mein hussain hun aisa laga raza ki shanawar se fatema kehti hai baar baar suna mein hussain hun gunji bawaqt asr sada mein hussain |
|