maula ali ka koyi bhi dushman
qasida - old
maula ali ka koyi bhi dushman jannat ka haqdaar nahi
ye hai qaule mursale aazam jhuton ka akhbaar nahi kalma nahi wo kalma jisme maula ka iqraar nahi bakhin bakhin kehke jo mukhraa us ka koyi me'yaar nahi dushmane haidar tera likhna parhna sab bekaar huwa nuqte ka matlab batlaana tere liye dushwaar huwa maula ali ka chaahne waala bacha bhi fankaar huwa ghaflat me hai bughz ka maara hoga kabhi hushyaar nahi jo bhi musalmaan ashke azaa se sajdon se takraate hain masjid me to jaate hain lekin majlis se takraate hain sun sun ke maula ke fazaael jin ke dil ghabraate hain unke liye jannat ki raahein hongi kabhi hamwaar nahi badr se le kar karbobala tak dushman tujh se haara hai sab jangin me fath ka zaamin naame ali ka naara hai har paighambar ne mushkil me tera naam pukaara hai tere alaawa paighambar ka koyi alambardaar nahi aakhein nahi rakhti hai lekin naslon ko barh jaati hai paaon nahi hain lekin satar satar zagbarh jaati hai jism ke do tukre karti hai jis sar par charh jaati hai jaisi teri tegh hai maula aisi koyi talwaar nahi |