majbur hun behna
old/unknown
old/unknown
majbur hun behna tumhe dafna nahi sakta
qaidi hun sakin mein kafan laa nahi sakta
taabut uthaane ko na akbar hai na abbas
mein ehle watan ko yahaan bulwa nahi sakta
laachaar hai sajjad se kyun ruth gayi tum
bimaar gohar aap ke dilwa nahi sakta
behna inhi kapron me tumhe dafn karunga
majbur hun nanna sa kafan laa nahi sakta
mein kaise khabar dun tere marne ki pidar ko
wo aa nahi sakte mein wahaan jaa nahi sakta
abbas chacha aawo sakina ko manaawo
mein leke unhe aap ke paas aa nahi sakta
laasha mein akele hi uthaawunga tumhaara
gayron se tera laasha mein uthwa nahi sakta
tum qabr me aaraam karo baali sakina
ab saath mein ghar leke tumhe jaa nahi sakta