maan aa gayi hussain
farhan ali waris - 2013
haaye haaye
bar sare karbala zakhmon se choor choor hai hussain maan dashte khuni me karti rahi ye bain haaye haaye haaye maan aa gayi hussain jis roz watan chorh ke nikla tha meri jaan nikli thi tere saath baqayya se teri maan ehle jinaan bhi gham me huwe chaak girebaan nana bhi tere khaak urhaate hain meri jaan phatta hai kaleja haaye hussain karte huwe noha haaye hussain maan aa gayi hussain maan aa gayi hussain bachpan me tere naaz uthaati thi teri maan zaanu pe tujhe apne sulaati thi teri maan khud bhuki reh ke tujh ko khilaati thi teri maan aaghosh me jhula bhi jhulaati thi teri maan ay naazon ke paale haaye hussain ab ashk pilaane haaye hussain maan aa gayi hussain maan aa gayi hussain kya haal laeenon ne kiya dekh rahi hun mein pehli moharram se jafa dekh rahi hun hain tishna dahan aale aba dekh rahi hun hoton pe tere shukre khuda dekh rahi hun tu dasht me tanha haaye hussain dene ko dilaasa haaye hussain maan aa gayi hussain maan aa gayi hussain qaasim ke tukre maine samete hain tere saath maqtal me saare laashe uthaaye hain tere saath furqat ke zakhm maine bhi khaaye hain tere saath gham tishnagi ke maine bhi paaye hain tere saath jab zeen se gira tha haaye hussain mein karti thi noha haaye hussain maan aa gayi hussain maan aa gayi hussain aaya nahin zameen pe beta tera badan us par sitam hai pyaas se sukha huwa dahan manzar ye gham ka dekh rahi hai teri bahan karti hai bain ay mere mazlum be watan ye zulm jo dekha haaye hussain zainab ne bulaaya haaye hussain maan aa gayi hussain maan aa gayi hussain tere badan se teer nikaalegi teri maan ab har qadam pe tujh ko sambhaalegi teri maan in zaalimon se tujh ko chupaalegi teri maan tere dukhon ka boj uthaalegi teri maan tu kitna hai pyaasa haaye husssain dene ko dilaasa haaye hussain maan aa gayi hussain maan aa gayi hussain farhaan jo mazhar ne masaaib raqam kiye rukte nahin hain aankhon se ashkon ke qaafle jo bain sayyada ne sare dasht kiye the lafzon ki shakl me sare qirtaas aagaye kehti thi sayyada haaye hussain ay laal na ghabra haaye hussain maan aa gayi hussain maan aa gayi hussain |