kufe se aa rahi hai
ali safdar - 2013
ya ali maula ali
kufe se aa rahi hai hawaayein lahu me tar hain taayiraane subho ki aahein lahu me tar kaampi zameen arsh pukaara ye kab huwa zakhmi hai kaayenaat ka maula ghazab huwa hooraane khuld ki hain nigaahein lahu me tar maari hai zarb parke muqaddas huwa do neem zaalim ne mustafa ka kaleja kiya do neem haidar ko kis tarha se uthaayein lahu me tar rona nahi ye beton se kehte rahe ali zainab ko dekh dekh ke khud ro diye ali aakhon me phir rahi hain ridaayein lahu me tar sabr o riza o deen ka paikar giraa diya ummat ke jehl ne sitam ummat pe dhaa diya maatam karein ke ashq bahaaein lahu me tar ilm o sakhaa o hilm si aadat hain nauhagar roohe nabi o deen ki kayaadat hai nauhagar adl o safaa o sidq o wafaaein lahu me tar |
|