hussainiyat zindabaad
shadman raza - 2012
hussainiyat zindabaad
hussain hussain hussain hussain karbala ke dasht ki hai dastaan hussainiyat hai hamaare khun me rawaan rawaan hussainiyat hai jahaan jahaan khuda wahaan wahaan hussainiyat hogi kaayenaat me zabaan zabaan hussainiyat zindabaad thi zindabaad hai zindabaad zindabaad hai hussainiyat zindabaad zindabaad zindabaad hussainiyat zindabaad shaamil jo hai khun me karbala kyun haar jaayenge ham hosala tufaan beh lenge khud raasta dengi duaayen hame sayyada tchalta rahega yun hi silsila ruk na sakega kabhi qaafela hoga ye sheh ka gham zindabaad hussainiyat zindabaad mashvara ehle dunya suno zillat ki ye zindagi tchor do shabbir ke raaste par tchalo tchaahe badan pe ye sar ho na ho ye dars detaa hai farshe azaa hur ban ke karlo abhi faisla haq pe ho to kaho zindabaad hussainiyat zindabaad bomb dhamaake karo jaa ba jaa maatam ko tum rok sakte ho kya taarikh parh ke to dekho zaraa hujjaaj se barh ke zaalim ho kya hain naasiraane shahe karbala allah mohammad ali fatema kyun na phir ham kahen zindabaad hussainiyat zindabaad ye daaghe maatam to aizaz hai maatam nahi fath ka saaz hai ye to shahidon ki aawaaz hai qudrat ka ye ek haseen raaz hai zinda hai kyun aaj tak karbala ye raaz jis par ayaan ho gaya us bashar ne kaha zindabaad hussainiyat zindabaad ye maatami misle mukhtaar hain har waqt marne ko tayyaar hain khushyon me gham ke talabgaar hain baatil pe ham misle talvaar hain jo hai hussaini who marta nahin haq baat kehne se darta nahin kehte hain jism o jaan zindabaad hussainiyat zindabaad binte nabi ka ye armaan tha ghar ghar me maatam ho shabbir ka armaan bibi ka puraa huwa hai aaj ghar ghar me farshe azaa hai shaadman aur mazhar sadaa lab pe rahegi yehi ek sadaa zindabaad zindabaad zindabaad hussainiyat zindabaad jab tak wafa saans karti rahengui sajaayenge ghar ghar me abbas ka ham alam maatam ko ye haath uthte rahenge ghame shaah me aankh rakhengue har waqt nam chalta rahega yun hi silsila rukh na sakengue ye ehle azaa hoga ye sheh ka gham zindabaad hussainiyat zindabaad karbobala ka jo paighaam hai wo sunaayengue dunya ko har haal me nauhakhaan pehnake khud apne lakhte jigar ko kafan in juluson me khud bhej deti hain maan dekha ye imaan ye hosala taarikh waalon ko kehna parha gham ka ye kaaravaan zindabaad taarikh de rahi hai ye aawaaz dam ba dam dashte sabaa to azm hai dashte balaa o gham sabre masih ho jurrate suqraat ki qasam is raah me hai sirf ek insaan ka qadam jiski raghon me aatishe badr o honayn hai us surma ka isme gheraami hussain hai hussain ya hussain shore rajaz baland hua vaar ho gaya lehje se gharm khaak ka baazaar ho gaya roze oruje shaam shabe taar ho gaya nikla jo mun se harf wo talwaar ho gaya ehle jafaa ki maut ka farmaan aa gaya dashte balaa me nuh ka tufaan aa gaya hussain ya hussain maskan jo the ghrur ke wo sar jhuka diye eiwaane khusrawi ke parakche urhaa diye lab teshnagi ne khun ke darya baha diye pyaase ne aabe tek ke johar dikha diye eiwane shar me aag lagi khaak ho gaya saare yazidiyon ka jigar chaak ho gaya hussain ya hussain pal bhar me saans ehle jafaa ki ukhar gayi bay'at talab yazeed ki surat bigharh gayi daste khuda se qismate shaahi udharh gayi haydar ki tegh sina e baatil me garh gayi haq ne rag-e saqifa ki chhalwal nikaal di paa e bani umayya me zanjeer daal di hussain ya hussain utthi nigaah chehra e baatil julas gaya ek naag ke himmate aadaa ko dhas gaya paa taal me saqifa e ehle hawas gaya aadaa pe zulfeqaar ka paani baras gaya ___________ ka lahu sard ho gaya bay'at talab yazeed ka mun zard gaya hussain ya hussain is haadese pe aaj bhi giryaan hain behr o bar allah ye talaatume ________________ ye kapre al hafiz ye udwaane al hazar paani si chiz band hai wo bhi hussain par maula kisi pe koyi na aisi jafaa kare kaafir pe bhi na band ho paani khuda kare hussain ya hussain zarraat mehve naal o fughaan gharqe shoro shain tapti huwi zameen pe akbar sa noore ayn ek bezubaan ki laash pe seidaaniyon ke bayn ay waay bar tabaahi e mazlumi e hussain khaime ke dar ko dida e girya kiye huwe zainab khari thi baal pareshaan kiye huwe hussain ya hussain hawwa khari thi sar se utaare huwe rida takraa rahi thi baare mashiyat se karbala aur farsh tha namuna e mehshar bana huwa gunji huwi thi dasht me zehra ki ye sadaa sun le sadaa ay baare khuda shoro shain ki parwardigaar ho khair ho mere hussain ki hussain ya hussain |
|