hussain ka sajda
kazim rehemtullah - 2012
hussain ka sajda
roze aashur sare karbobala kya dekha deene islaam ki kashti ko bhawar ne ghera maine socha ke isse kaun bachaa paayega kaun kashti ko kinaare pe liye jaayega aayi maidaan me ye ghayb se aawaaze khuda hussain ka sajda pukaara roke koyi haaye re akbar mera koyi ye bain kiye jaata tha asghar mera kissi ke lab pe rawaan ibne hassan ka noha koyi pukaara ke ghaazi na raha waaweila ek sadaa aayi ye subhaana rabbi al aalaa hussain sajda jhukaana chaahte the tumko yazidi maula bas issi waaste sajde me tum pe waar kiya un laeenon ne kiya tan se tere sar ko juda phir bhi unka tha jo armaan adhura hi raha wo khud uthaake ke chale sar ko sare noke sina hussain ka sajda jabeen ko khaak pe jis dam hussain ne rakha gale pe thegh rawaan karke shimr ne puchha na hai akbar na hai abbas mujhe ye to bata tere islam ko ab kaun bachaa paayega sirhaane bhethi ye farmaane lagi shaah ki ma hussain ka sajda iraada shaah ka tu jaanta tha mere khuda hussain jang ki khaatir to nahi aaya tha na teer neza na talwaar sath laayaatha lashkare kufr se phir bhi hussain jeet gaya bas ek sajda bana saare yazeedon ki qazaa hussain ka sajda yazidiyat ka tha bas ek hi armaan khuda namaaz o deen mitaana iraada tha unka wo kahaan jaante the tera martaba maula tere ek sajde ne unka iraada tor diya kharaa huwa hai unki raah me diwaar banaa hussain ka sajda un laeenon ne kiye tum pe itne zulm o jafa har ek zulm pe saabir ne rab ka shukr kiya agar hussain adaa hota na sajda tera jahaan me aaj kahin par na hota naame khuda chauda sadyon se banaa hai jo nimaazon ki baqaa hussain ka sajda tere sajde ne hi islaam ko aabaad kiya tere sajde se munawar hai hidaayat ka diya tere sajde ne nimaazon ko bachaaya maula tere sajde se hi wo khaak bani khaake shifa khuda ka deen jiske dam se hai payron pe kharaa hussain ka sajda sajda shabbir ka irfaan karun kaise bayaan meri bakhshish ka sahaara banega wo sajda jabeene shaah ko kazim jo khaak ne chhuwa mila jahaan me isko azeem tar rutbaa qabr me saath mein rakhunga wahin khaake shifa hussain ka sajda |
|