hamaare hain ya hussain
nadeem sarwar - 2011
mein karbala me khara hun libaase sog me hun
hai arbaeen hussain aur hussainiyon ka karoron log hain saare libaase sog me hain har ek nasl har ek rang har zabaan ke log nigaahen roza e shabbir ke tawaaf me hain labon pe haaye hussaina ghareeb haay hussain khayaal aata hai eksathwi sane hijri ka aur us moharram ka yehi maqaam tha yehi maqaam tha ek banda e khuda jiska hussain naam tha hussain naam tha jiska rahe khuda me hatheli pe sar uthaaye huwe har ek daur ke insaan ki aabru ke liye wo apne dil pe bahattar ke zakhm uthaata raha wo apne jism pe zakhmon pe zakhm khaata raha qadam barhaata raha qadam barhaata raha bas ek azm tha insaan surkh ru ho jaaye bas ek dhun thi ke insaaniyat na mar jaaye insaaniyat pe hai ehsaan hussain ka ehsaan hi to hai ehsaan ka sila har dil me ya hussain har dil me karbala bedaar kar diya jo zamaana hussain ne besaakhta tamaam zamaana ye keh utha ke hamaare hain ya hussain hamaare hain ya hussain insaaniyat ki shaan barhaayi hussain ne insaaniyat bashar ko sikhaayi hussain ne insaaniyat ki pyaas bujhaayi hussain ne insaan jab hussain ke paykar me dhal gaya insaan pukaari wa to izzo man tasha ke hamaare hain ya hussain dunya ke har adab me hai hissa hussain ka dunya ki har zabaan pe hai qabza hussain ka insaan samajh raha hai ye rutba hussain ka taarikh ko hussain ne hayraan kar diya saare jahaan ke ehle qalam ne ye likh diya ke hamaare hain ya hussain sureh me “maa uti” ke allah ne sunaaya takhleeqe kul me insaan ashraf tujhe banaaya insaan ka dard dil me insaan ke utaara insaaniyat ka maktab ghar panjetan ka rakha us ghar me panjetan ke ek shehr ko basaaya phir apna khun deke us shehr ko sanwaara ye shehr naynawa hai ye shehr maariya hai ye shehr karbala hai ye shehr karbala hai dil hai to karbala dil hai to ya hussain insaaniyat samajhne chalo karbala chalo haan thaamlo hussain ke daaman ko thaamlo hur jaun aur habib ki saf me khare raho dil hai to ab hussain ki aawaaz ko suno farmaate the hussain wo insaan nahi hai lute jo dil ka chain wo insaan nahi hai roein na jis ke nein wo insaan nahi hai hans de jo sun ke bain wo insaan nahi hai insaaniyat bachaaye wo insaan hai insaan insaan ka dukh uthaaye wo insaan hai insaan darse wafa sikhaaye wo insaan hai insaan jo sab pe rehm khaaye ilm o amal barhaaye insaaniyat bachaaye wo insaan hai insaan insaan ko hussain ne insaan banaa diya insaaniyat ke lab pe musalsal thi ye sada ke hamaare hain ya hussain do tarha ke huwe karte hain jahaan me insaan hain juda raaste donon ke ba qaule quraan aadmi ek yazeede azali me ubhra ek insaan hussain ibne ali me ubhra us taraf khaam khayaali naya islaam bane is taraf azme jalaali ke shariyat na mite us taraf saltanat o daulat o taaqat ka ghurur is taraf tchota sa ghar faaqon me hai mamba e noor ek taaqat ke takabbur me jo itra ke chala dusra nana ke marqad se dua paa ke chala ek nau laakh ke lashkar ke liye saath chala dusra god me asghar ko liye saath chala us neze the talwaaren thi aur bhaale the is taraf shauqe shahaadat liye dil waale the us taraf jashn manaate the zamaane waale is taraf bekas o be aas madine waale ek taraf tashna dahaan sab ke sab khushk zabaan unka maqtal ka jahaan ret saari thi tapaan door thi nehre rawaan al hafiz o al amaan al hafiz o al amaan kya dil tha dil hussain alayhis salaam ka jis me koyi khayaal na tha inteqaam ka dil tha to dil pe kaare risaalat utha liya dil tha to dil pe noore shahaadat utha liya dil tha to dil pe baare qayaamat utha liya dil tha khuda ke ishq me sab ghar luta diya dil tha to dil pe daaghe bahattar utha liya dil tha sambhal ke laasha e akbar utha liya had hai janaaza e ali asghar utha liya hussain dil hai tera karbala kya thi laeenon ki shaqaawat kya thi soch insaan ke saadaat ki ghurbat kya thi eid guzri hai abhi ya’ni ke eide qurbaan aap ne pura kiya hoga ye rukne imaan chand sharten hain zabiha ki baraaye insaan sharte awwal hai ke kamsin na ho bimaar na ho aur bhuka na ho paani ka talabgaar na ho ru ba ru saamne haywaan ke haywaan na ho waqte zibha wo ghari bhar ko pareshaan na ho shart ye bhi hai churi bhi na dikhaawo us ko zibha se pehle qazaa se na daraawo us ko ho churi tez magar haath ho narmi se rawaan ek hi waar me ho jaaye zabiha qurbaan al hafiz o al amaan ab jigar thaam ke ay momino ye haal suno lo zaraa maqtale shabbir ka ehwaal suno haaye haywaan ki dame zibha sharaayat itni aur jis ghar se ye mansub huwi qurbaani us ki aulaad ki maqtam me ye tauqeer huwi koyi bhi shart zabihe ki nibhaayi na gayi al hafiz o al amaan sharte awwal thi ke kamsin na ho tanwaan bhi ho dudh pita na ho mar jaane ke imkaan na ho tum ko ab maadare asghar ki qasam ehle azaa qatl asghar jo huwe sochiye wo kya sin tha tisra faaqa tha tche maah ka sin waweila ek bhi daant na nikkla tha ali asghar ka ek baalisht ka kurta tha ali asghar ka dudh pina bhi na tchuta tha ali asghar ka pehla kamsin hai ke jo zibha nahi nehr huwa teere seh pehlu se maasum ko bhi maar liya al hafiz o al amaan sharte dowum thi ke haywaan na ho bhuka pyaasa aur haftum se the saadaat bina aab o gizaa halq tar karte hain kassaab bhi qurbaani ka aur bahattar ko dame zibha bhi paani na mila jalti reti pe kahin akbar o abbas ghire aur kahin aun o mohammad aur qaasim the pare zibhe haywaan ka nahin hukm hai haywaan ke huzur yaan na shabbir se zainab na sakina thi door shaah un ko, wo suwe shaahe umam dekhte the zibha hote the hussain ehle haram dekhte the hussain ya hussain mana’ dikhlaana churi ka hai pa e qurbaani yaan tha nau laakh ke narghe me ali ka jaani ek jaana khareedaar eaazan billah har taraf zzalim o khun khaar eaazan billah apne rutbe ke kisi ko na shanaasa dekha dekha pyaase ne jise khun ka pyaasa dekha aakhri shart churi tez ho narmi se rawaan ta ke tarpe na aziyat se zaraa bhi haywaan aakhri sajda idhar karne lage shaahe hoda kund karta huwa khanjar ko idhar shimr chala tera zarbon se sare sayyade waala kaata aur mazlum har ek zarb pe deta tha sada zarb pe zarb lagi kehte the amaa amma zarbe aakhir pe kaha ho mere abbas mere abbas kahaan |
|