hai sakina akeli yahaan
farhan ali waris - 2013
mera roza huwa weeraan
hai sakina akeli yahaan baba jaan hai sakina akeli yahaan zaairon par bhi paabandiyaan hain yahaan zulm ka silsilah wo ruka hi kahaan mere naale bhi paaband hain rone waale bhi paaband hain hain abhi tak wohi sakhtiyaan baba jaan hai sakina akeli yahaan baba zakhme jigar saare bhar jaate the pursa daaron ke jab qaafle aate the leke aate the wo baba jaan saath jhula rida baaliyan wo azaadar hain ab kahaan baba jaan hai sakina akeli yahaan sang dil shaam waale na jaane kabhi ek yateema ki zindaan me noha gari chaahne waale sab ja chuke mujh ko zindaan me chorh ke shaam waalon ke hi darmiyaan baba jaan hai sakina akeli yahaan shaam hi me hai roza phuphi ka magar baba dekho to hain dooriyaan kis qadar wo wahaan apne gham bhul ke aayin thi shaam mere liye wo wahaan main yahaan noha khwan baba jaan hai sakina akeli yahaan kal jo tanhaayi thi aaj bhi hai wohi kal bhi pehre the faryaad par aaj bhi zakhme dil ki hai bas ye dawaa aap aajaaen ya phir chacha karti rehti hun bas ye fughaan baba jaan hai sakina akeli yahaan aap ko raat din yaad karti hun mein aaj bhi in andheron se darti hun mein khauf rehta hai aksar mujhe shimr maare ga aakar mujhe kis ko dungi sadaaen yahaan baba jaan hai sakina akeli yahaan zaairon ke liye raasta kholdo faateha khwaan marqad pe koyi to ho pursa daaron ke phir kaarwaan laaen farhan o mazhar yahaan |
|