dama dam ya ali haidar
master ghulam abbas -
mach gayi dhoom ye ghar ghar
dama dam ya ali haidar huwa ek noor jo peida huwa taqsim do hissa huwa ye raaz huwaida sare farshe nabi dekha tujhe ehmad ke baraabardama dam ya ali haidar aayi nazraan kinaari huwi maidaan me tayaari aayi panjtan ki sawaari huwa farmaan ye jaari ali hai nafse payambar dama dam ya ali haidar soe bistar pe jo bhaayi raza allah ki paayi wahi jibreel ne laayi kar diya deke khudaayi dono aalam ka gawarnar dama dam ya ali haidar wird tu subh o masaa kar naam maula ka liya kar pare mushkil to sadaa kar chhor dushman ko dabaa kar lagaa de naara e haidar dama dam ya ali haidar teri sarkaar hai aali aaye hain ban ke sawaali nahi lot aaenge khaali tere maulayi mawaali aae hain ban ke gadaagar dama dam ya ali haidar bas tu haidar hi kiye ja naam maula ka liye ja mae irfaan piye ja joshe imaan liye ja tu hai sarkaare sukhanwar dama dam ya ali haidar behre shabbir o shabbar nazare lutf o karam kar nazr ban jaae ye gauhar hun sanaakhaane sukhanwar haidari hun tera qambar dama dam ya ali haidar |
|