chal sakina
farhan ali waris - 2012
haay haay haay
haay haay sakina jaago ay baali sakina dete hain aawaaz baba ek shab sakina shaam ke zindaan me so gayi baba ko dekha khwaab me kehte the wo yehi bohat ro chuki meri jaan jaag jaa chal sakina chalein karbala saath baba ke rehna sada mujh se bichhri to soyi nahin meri jaan ek ek saans tum par thi kohe garaan aur us par sitam qaid ki sakhtiyaan teri aah o buka par bhi paabandiyaan is liye kar raha hun buka chal sakina chalein karbala saath baba ke rehna sada hai yahaan sirf tanhaayi taarikiyaan ye ghutan aur taqdeer ki beriyaan chaahne waale tere to sab hain wahaan chain aata hai apnon ke hi darmiyaan chhor kar ab ye shehre jafa chal sakina chalein karbala saath baba ke rehna sada yaad karta hai asghar tujhe meri jaan tujh ko aawaaz deta hai wo bezabaan wo wahaan reh gaya aagayi tu yahaan wo wahaan nohakhwaan tu yahaan nohakhwaan chain donon ko aa jaayega chal sakina chalein karbala saath baba ke rehna sada saath apne tujhe leke jaawunga mein tere ammu se tujh ko milaawunga mein haan tujhe baaliyaan bhi pinhaawunga mein apne sine pe tujh ko sulaawunga mein hai wahaan par jahaan ek naya chal sakina chalein karbala saath baba ke rehna sada ab na talwaar o neza hai na teer hai karbala ab to ghazi ki jaageer hai tere baba ke khwaabon ki taabeer hai ek aagosh hai jis me besheer hai dil ye tera behel jaayega chal sakina chalein karbala saath baba ke rehna sada shaam se mukhtalif hai wahaan ki fizaa kon tujh par wahaan ab karega jafa tera akbar bhi hai aur tere chacha saare pehron se aazaad hai alqamah ab to paani bhi mil jaayega chal sakina chalein karbala saath baba ke rehna sada ghurkiyaan taaziyaane tamaache lage qaid khaane me tujh par sitam jo huwe tera baba tarapta hai is dard se chaahta hun dukhon se rehaayi mile saath baba ke ay ghamzada chal sakina chalein karbala saath baba ke rehna sada zakhm saare jigar ke dikhaane chalo apne dukhre chacha ko sunaane chalo jo sitam tum ne jhele bataane chalo khaake karbal ko marham banaane chalo saare zakhmon ki lene dawa chal sakina chalein karbala saath baba ke rehna sada yun to har roz "farhan" o "mazhar" yun hi baap se bachchi milti thi khwaabon me hi zindagi ka yehi khwaab tha aakhri yun laga saath baba ke wo laadli chal basi sun ke bas ye sada chal sakina chalein karbala saath baba ke rehna sada |
|