bikerti huwi raahon me
shadman raza - 2013
milta nahi tha koyi sahaara yazeed ko
zainab ne is tarha se ujaara yazeed ko khaatun jang kar nahi sakti thi is liye khutba ki zulfiqaar se maara yazeed ko as salaam ya zainabe kubra bikherti huwi raahon me roshni zainab mizaaje hazrate shabbir le chali zainab jahaan me maqsade shabbir aam karti rahi jo kaam bhaayi ne sonpa tha kaam karti rahi kabhi hussain ki surat kabhi ali ki tarha yazeede waqt ki neendein haraam karti rahi teri zubaan hai ya teghe haidari zainab yazeediyat ke liye kaam khub ho jaata jo aaftaabe shari'at ghurub ho jaata zamaana jehle murakkab ki neend so jaata khuda ke deen me shaamil uyub ho jaata pase hussain na karti jo rehbari zainab tera wujud sadaaqat ka paasbaan raha tera wujud imaamat ka paasbaan raha quraane paak ki tatheer ki shahaadat hai tera wujud tahaarat ka paasbaan raha hai tu hi makhzane ismat ki chaawni zainab ali ki laadli hamshire shabbar o shabbir janaabe fatema zehra ki hubahu tasweer masaahebine sitamgar ki larzabaan ham dam dayaare shaam me karke kuch is tarha taqreer misaale haidare karraar chaa gayi zainab sitamgaron ne to chaaha magar na hone diya khuda ke deen me bid'at ka ghar na hone diya gawaara kar liya khud daagh beridaayi ka barehna deene payambar ka sar na hone diya hai tere khun me shaamil tawangari zainab siraate haq to sadaaqat se hath gayi hoti isaare kufr me dunya simat gayi hoti tamaam nabiyon ki mehnat bhi zere takhte yazeed quraane paak ke hamraah pat gayi hoti agar mizaaje zamaana na morhti zainab khuda tera hai imaam o rasul tere hain jo panjetan ke hain zainab usul tere hain mehek raha hai gulistaane kibriya jis se sabhi kali hain teri saare phul tere hain hai tujhse deene mohammad ki dilkashi zainab kahaan bayaan ka mohtaaj zikr hai tera har ek zikr ka sartaaj zikr hai tera tere amal tere kirdaar ki ba dolat hai zubaan zubaan pe agar aaj zikr hai tera hai tere zikr ki mohtaaj har sadi zainab misaale hazrate misam dahan ataa kar do hame janaabe farazdaq sa fan ataa kar do dua ye munis o kausar ki shadman ki hai ay bibi ham ko bhi auje sukhan ataa kardo tumhaari bazm me karte hain nokri zainab bikherti huwi raahon me roshni zainab |