abu talib ka gharaana
nadeem sarwar - manqabat 2009
ali ali maula ali ali maula
quraan paraaya hai imaan bataaya hai imraan ke gharaane ne islaam bachaaya hai baraa mehbub gharaana abu talib ka gharaana gulaam inka hai zamaana abu talib ka gharaana kiya har kaam usi ki riza me raazi reh kar khuda ke din ki khaatir hazaaro sadme seh kar kare har dam shukraana abu talib ka gharaana risaalat ho ke imaamat vilaayat ho ke tahaarat shafaa'at ho ke sadaaqat sakhaawat ho ke shujaa'at har ek azmat ka thikaana abu talib ka gharaana kabhi mimbar pe parhke kabhi maidaan me larhke kabhi neze pe charhke kabhi khutbe parh parhke sikhaawe din bachaana abu talib ka gharaana diye raahib ko bete kiya bezar ko buzar diye hain fitrus ko par jagaaya hur ka muqaddar ye hai sakhiyon ka gharaana abu talib ka gharaana pukaara jab mushkil ne inhon ne ki lajpaali sabhi mangton ke pal me bhari hai jholi khaali jhuka jis dar pe zamaana abu talib ka gharaana |
|