aakhir hussain maa hun
tejani brothers - 2011
amma badan ye saara tiron se ab bhara hai
ghore pe na zamin par laasha mera parha hai ab shimr ki tchuri hai gardan pe chal rahi hai amma mujhe sambhaalo ay mere pyare hussain kaise gale pe tere khanjar mein chalta dekhun aakhir hussain maa hun gardan pe tere rakh ke apna gala kataa lun aakhir hussain maa hun chakki ko pis kar mein bachpan me tujhko paala raaton ko jaag kar mein jula tera julaaya sowo na ab zamin par godi me aa sulaalun aakhir hussain maa hun akbar ko apne kaandhe pe kis tarha uthaaya tchoti lahad me asghar ko kis tarha sulaaya tumhaari bekasi par kaise na khun bahaawun aakhir hussain maa hun zainab ki imethaan ka karbal se ibteda hai baazaare shaam o kufa ka ab bhi marhala hai har simt saath hogi waada ye kar rahi hun aakhir hussain maa hu jinno malak the saare koyi na dekh paaya tanha tu reh gaya hai koyi nahi sahaara har ek qadam pe hun mein mein kaise saath tchorun aakhir hussain maa hun paamaal ho na jaaye laasha tumhaara ran me mera jigar hai tukre quwwat nahi badan me tere badan ke tukre kaise mein khud uthaawun aakhir hussain maan hu kaise sambhal sakoge ghore pe mere beta tiron se bhargaya hai beta tumhara laasha har ek tir apne hathon se mein nikalun aakhir hussain maa hun barhta hai ek zaalim haathon me leke khanjar ghore se ab gire ho sajde me hai tera sar sar tera kat na jaaye aawo tumhe tchupaalun aakhir hussain maa hun tere gale pe zaalim khanjar chala raha hai darya lahu ka tere gardan se beh raha hai hasta hai tera qaatil mein gham se kaampti hun aakhir hussain maa hun nawha tha ye “tejani” mazlum maa ke lab par suki hai teri gardan aur shimr ka hai khanjar ab kaise tere tan se jaan ko nikalta dekhun aakhir hussain maa hun ghore se jab girhe shabbir khaak par haan tir se bhara tan tha lahu me tar bola tha shimr ye baalon ko khench kar pyaasa tumhe zibha kardunga ret par aajaawo mere laal chillaayi fatema ay shimr roklo khanjar jo hai tera zahra se wo magar mu apna pher kar mazlum halq pe uski pari nazar haay haay lahu ki pyaas wo shimr ka barha pyaasa gala hussain ka khanjar se kat gaya |
telecharger fichier mp3 ici
[clic-droit, enregistrer la cible] |